Indian Athletics And Swimming Ko 2024 Ke Liye Focus Karna Chahiye- IOA Chief

Indian Olympic Association Ke President Narinder Batra Ka Ek Article Olympicchannel Par Aaya Jisme Unhone Bola Hai Ki Ab India Ke Athletics And Swimming Ko 2024 Ke Olympics Ke Liye Focus Karna Chahiye.

2016 Ke Rio Olympics Me, India Ke Taraf Se 34 Athletics Participants The Lekin In 34 Me Se Kisi Ne Bhi Podium Me Apni Jagah Nahi Bnayi. Batra Ne Phle Se Hi Ye Plan Bnana Shuru Kar Diya Tha Ki India Ko Medal Prospective Se 2024 Ke Olympics Ke Liye Tyari Shuru Karni Hogi.

Narindra Batra Ko Bharosa Hai Ki Tokyo Ka Quadrennial Event Success Hoga Aur Ummed Hai Ki Covid Vaccine Me Olympian Ko Priority Bhi Milegi.

“Olympic To Ab Confirm Ho Chuka Hai. Ek Chiz Bas Ye Dekhni Hai Ki Kitne Number Of Fans Honge. Vaccinations Uk Me Dena Start Ho Chuka Hai.”

“Ek Baar Vaccination Start Ho Jayegi To Sab Relax Ho Jayega. Flights Abhi Open Nahi Kari Gayi Hai. 31 Dec Ke Baad Isme Bhi Rahat Milegi.”

Filhal India Me Abhi Bhi Swimming Pools Puri Tarike Se Nahi Open Kiye Gaye Hai Jisse Elite Swimmers Ki Practice Abhi Bhi Ruki Hui Hai. Indian Swimmers Ke Parents Bhi Is Baat Ko Lekar Chinta Me Hai Ki Agar Pools Hi Nahi Open Honge To Kaise Koi Swimmers Aane Wale Time Me Apni Performance Ko Pura 100% De Payega.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »