Athlete Aur Depression Ke Beech Ka Relationship – Swimming Tips In Hindi

Aap Isko Fatigue Bole Ya Jo Bhi Apka Man Ho Wo Bole Lekin Aaj Record Numbers Ke Sath Teenagers Depression Ko Experience Kar Rhe Hai. Sabse Darane Wali Baat Ye Hai Ki Depression Ko Aksar Parents/Coach Sadness Smjh Lete Hai Jisse Us Child/Athlete Ko Sahi Time Par Sahi Guidance Nahi Mil Pati Or Wo Us Depression Me Fasta Chla Jata Hai.

Ek Student Jo Sath Me Athlete Bhi Hai Uspr Na Sirf Apni Field Performance Ka Pressure Hota Hai Balki Usko Apne Academic Ka Bhi Pressure Jhelna Pdta Hai.

Professional Athletes Ko Bhi Financial Stress Ya Career Ka Stress Hota Hai. Depression Ke Dauran Ek Athlete Kafi Unscheduled Ho Jata Hai, Jaise Wo Apni Exercise Schedule Ko Change Kar Leta Hai. Physical Training Ke Dauran Uska Focus Training Par Nahi Rahta Hai. Jisse Uski Performance Down Hoti Jati Hai And Uss Down Performance Se Depression Or Bhi Jyada Havi Ho Jata Hai. Isliye Agar Aapko Apne Athlete Me Ye Sare Changes Dikhne Lge To Aap Usse Baat Kre Uski Pareshani Ko Smjhe Hi Nahi Balki Uski Problem Ko Apni Problem Samjh Kar Jitni Jaldi Ho Sake Usko Solve Kre.

Depression Ke Roots Ko Smjhne Ke Sath Sath Athletes Ko Apni Health Par Bhi Dhyan Dete Rhna Chahiye. Regular Sleep, Healthy Eating, Yoga Ye Sabhi Chiz Ek Athlete Ko Mentally Bhi Kafi Strong Bnaye Rakhne Me Bahut Help Karti Hai And Iske Sath Sath Athlete Ko Experts Ke Touch Me Hmesa Rhna Chahiye And Time-Time Par Experts Se Apni Problems Share Karte Rahna Chahiye.

“Har Ek Athlete Ko Kabhi Na Kabhi Downtime Se Gujarna Hi Pdta Hai Lekin Uss Downtime Se Ubharna Or Apni Training Par Focus Krna And Khud Par Believe Karna Ek Real Athlete Ki Pahchan Hai”.

Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

Comments are closed.

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »