Delhi Development Authority (DDA) ne residents ko heat se relief dene ke liye poori city me swimming pool accessible karaye hain.
Authority public swimming pools wale 17 sports complexes ka network manage karta hai aur isne fresh permissions obtain karne ke baad inhe open kar diya hai.
Inme Saket Sports Complex, Yamuna Sports Complex, Jasola me Netaji Subhash Sports Complex, Dwarka Sports Complex Sector-11, Rohini Sports Complex, Major Dhyanchand Sports Complex aur Hari Nagar Sports Complex etc shaamil hain.
Ak official ne kaha, “Ye seasonal pools typically September ke end tak operate hote hain. Accredited labs se water test reports ke alawa various bodies se permissions ka annual renewal mandatory hai.”
DDA Siri Fort Sports Complex jaise all-weather pools ko bhi maintain karta hai, jo 1 February se 30 November tak 10 months ke liye open hota hai. 1 April se 30 September tak, ye normal pool ke roop me operate hota hai aur baaki months ke liye, ye ak heated pool hai jisme fees me variations hoti hain.
Olympic size ke big DDA pools (25mx50m) me ak session me maximum 80 logon ko allow kiya jata hai aur small size (12.5x25m) ke pool me 40 logon ko allow kiya jata hai.
Ak official ne pahle kaha tha, “Visitors ki convenience ke liye, hum morning ke session rakh rahe hain, jo subah 6 baje se dophar 12 baje tak aur shaam ko dophar 3 baje se raat 9 baje tak honge.” Summer me har person ke liye monthly coaching charge Rs.1,250 hai.
Official ne kaha, “Yhan (Siri Fort) ke pool me sabse jada log aate hain, yahi wajah hai ki humne 2023 (13 saal baad) me iska detailed renovation kaam kiya. Yhan Olympic size ke pools me hi heating facilities, air-conditioned changing rooms aur ak reception area hai. Pool ke bagal me bachchon ke liye ak pool hai. Ye facility winter me bhi open rahti hai aur isme heating and temperature maintain rakhne ka provision hai.”
Similarly, Vasant Kunj Sports Complex ke swimming pool me, DDA ne kaha hai ki isme disable logon ko facility ke use ko allow karne ke liye ramp aur other facilities hain. Ak official ne pahle kaha tha, “Kai facilities banane ke baawjood, hum swimming pools me user charges ko bahot competitive rakh rahe hain taaki logon ko benefit mil sake.”
Iss month ki shuruaat me, DDA ne apne sports complexes me various disciplines me professional sports coaches ki bharti shuru ki, jisse revenue-sharing arrangement offer ki gayi. Authority ne kaha, “Authority me upcoming summer holidays ke dauran attendance me hone wali anticipated surge ko accommodate karne ke liye ye preparations ki hain, particularly temporary courses and specific sporting activities ke liye. Kisi bhi coach or agency ko kisi bhi discipline me maximum 2 sports complexes diye jayenge.”
Authority ne notice me kaha, “Sabhi sports complexes me members and non-members ke liye coaching rates me difference non-members ke liye 25% additional charges par equal hoga.”
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi