KIYG 2025 – Gaya Me Swimming Ke First Day Manvi, Aditi Ne Bikhera Jalwa

Karnataka ne Monday ko swimming competitions ke opening day par apna dominance banaya, BIPARD Sports Complex me Khelo India Youth Games 2025 Bihar me 4 gold medals jeete.

Manvi Verma (Karnataka) ne double gold jeetne ki koshish ke saath Karnataka ke show me top place secure kiya. 1:18.30 par girls’ 100m breaststroke ka title jeetne ke baad, unhone 28.87 seconds me wall ko touch karte huye 50m butterfly ke final me jeet ke saath limelight batori.

Maharashtra ki Samaira Mehrotra and Zara Somshekhar Baksi ne respectively 1:18.72 and 1:19.84 me 100m breaststroke ka silver and bronze medal jeeta. Karnataka ki  Charita Phanindranath and Maharashtra ki Rujuta Prasad Rajdanya ne respectively 29.21 second and 29.31 second me 50m butterfly me chhote medals jeete.

Ak close contest me Karnataka ke Krish Sukumar boys’ ki 100m breaststroke me 1:06.39 ke time ke saath first aaye. Unke team-mate Surya Jhoyappa (1:06.84) and Maharashtra ke Shubham Joshi (1:06.85) ne unko hard chase kiya, but unhe podium par unke saath hi santosh karna pada.

Shri Charni Tumu (9:22.29) ne Monday ko girls’ 800m freestyle time trial me lead lene ke baad haar nahi maani aur Karnataka ke liye jeet ka 4th medal complete kiya. Unhone apni team-mate Aditi N Mulay (9:25.51) ko ak aisi race me haraya, jisme unhone strong intent and intense effortss ke saath jeet haasil ki thi.

Maharashtra ki Aditi Satish Hegde ne girls’ 200m freestyle me 2:09.51 time ke saath gold medal jeeta, jo last KIYG me unke silver medal me Improvement thi. Unke baad Delhi ki Titiksha Rawat (2:09.58) and Assam ki Subhranshini Priyadarshini (2:12.99) ka place raha. Baad me unhone 800m freestyle me 9:28.20 time ke saath bronze medal jeeta.

Aditi Hegde ne kaha ki unhone iss event ke liye din me 4 ghante training ko dedicate kar sach me bahot kadi mehnat ki thi, “Isne pay off kiya. Apne last performances me Improvement karna bahot achha lagta hai. Main apni achhi performance continue rakhna chahti hun.”

Boys’ 200m freestyle me- day ka first final jo sun and humming drone ke beech hua- Abhinav S (Kerala) ne 1:55.32 me gold medal jeeta. Karnataka ke Dhakshan S and Andhra Pradesh ke Goteti Sampat Kumar Yadav respectively 1:55.59 and 1:55.89 me second and third place par rahe.

Boys’ 50m butterfly final me Assam ke Jananjay Jyoti Hajarika ne shaandar performance karte huye gold medal jeeta. Unhone 24.98 second ka time liya aur Karnataka ke Chintan S Shetty (25.26) aur Maharashtra ke Vedant Santosh Tandale (25.62) ko second place ke liye fight karna pada.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »