Chhattisgarh ke Korba district ki Bhoomi Gupta ne 8 saal ki age me summer holidays me swimming camp me swimming seekhna start kiya aur yahi unka passion ban gaya. Haal hi me 38th National Games me Bhoomi ne swimming me first medal dilaya hai. Ye medal Chhattisgarh alag state banne ke baad first time swimming me mila hai.
Better Training Ke Liye Shift Hui Mumbai:-
Iske alawa Haldwani me held competition me Bhoomi ne 200m IM me bronze medal jeetkar state ki first National Games winner swimmer bani. Shoulders ki surgery ke baad sport se kuchh time door rahna pada, lekin unhone haar nahi maano. Mental health training lekar khud ko phir se taiyar kiya aur shandar wapasi ki. Bhoomi kahti hain, “Ladkiyon ko kabhi haar nahi maanni chaiye. Hamesha koshish karte rahna chahiye aur iske liye family ka support bahot important hota hai.”
Bhoomi 2017 me High Performance Training ke liye Mumbai shift ho gayi, jahna unhone studies and training dono continue rakha. 2018-19 me Delhi me hui SGFI National Swimming Championship me unhone 2 silver aur 2 bronze medals jeete. Unki outstanding performance ko dekhte huye central government ki taraf se unhe Khelo India Athlete Scholarship Training Scheme me 8 saal ke liye select kiya gaya, jiske tahat unki training aur studies par har saal 5 lakh rupees kharch kiye jaate hain.
Ab desh ke liye medal jeetna hai.
Abhi Bhoomi Delhi me Sports Authority of India ke High Performance Residential Academy ke head coach Parth Pratik Mazoomdar se training le rahi hain. Bhoomi kahti hain ki abhi tak apne state ke liye medals jeeti hun ab desh ke liye medal jeetna hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi