Tiruchy: Tuesday ko 51 firefighters ki ak team ne district ke Kudamurutti ke Ayyalamman Padithurai me Kaveri Nadi me bahe gaye class 10th ke 3 students ki dead body recover ki.
According to officials, Tiruchy Railway Junction ke paas sthit government-aided school ke 10 students Monday evening apni half-yearly exams complete karne ke baad swimming ke liye nadi ki taraf gaye the.
Students nadi ke deeper portion me chale gaye, kyunki wo nadi ki strong current se unaware the. Unme se 7 students tairkar safely wapas aa gaye, jabki S Vignesh (15), S Zakir (15) and S Simbu (15) strong current me fas gaye aur gayab ho gaye. Tiruchy & Perambalur ke firefighters ne rescue operation start kiya lekin poor visibility aur crocodile ke presence ki wajah se Monday night ko ise suspend karna pada.
Tuesday ko, 51 firefighters ki ak team ne rubber boats use karke treacherous water me navigate karne ke saath operation phir se start kiya. Iske turant baad, unhone Husain aur Simbu ki dead body recover ki.
Fire department ke official ne kaha, first body incident site ke paas hi mila, jabki doosra half of kilometre downstream par mila.
Tuesday night ko search operation ko suspend kar diya gaya tha, lekin local logon ne Odathurai me railway bridge ke neeche Vignesh ki body dekhkar fire department and Fort police ko inform kiya. Iske baad dead body ko recover kar liya gaya aur postmortem ke liye MGMGH bhej diya gaya.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi