Paralympics 2024 Me Participate Karne Wale Suyash Jadhav Kon Hai

Para-swimmer Suyash Jadhav Paris 2024 Paralympics me apni chhap chhodne ki hope kar rahe hain. Jadhav men’s ki 50m butterfly S7 category me compete karenge. Unhone 2023 me Hangzhou me Asian Para Games me bronze medal jeetkar Paralympic Games ke liye qualify kiya.

Maharashtra ke Solapur me janme Suyash ko bachpan se hi swimming ka shauk tha. Unhone apne father, jo khud ak state level swimmer hain, ko various competitions me participate karta dekhkar iss sport ke liye interest develop kiya. Halanki, ak unfortunate accident ne Jadhav ke upcoming athlete banne ki journey me roadblock ban gayi.

Cousin ki shadi ke pahle ki shaam ko, budding swimmer ko electrocution accident suffer karna pada. 6 mahine hospital me spend karne ke baad, Suyash ne apne dono haath aur wrist kho di. Halanki, isne unhe world-class athlete banne ke dream ko pursue karne ke determination ko nahi roka.

Swimming ke liye unke passion ne unhe life changing accident ke baad bhi unhe aage badhne ke liye inspire kiya. Accident ke do saal baad hi, Jadhav ne phir se training start kar diya 2015 me unhone Russia ke Sochi me IWAS World Games me do medal jeete.

Talented para-athlete ne RIO 2016 Paralympics ke liye ‘A’ qualifying mark record karne wale first Indian para swimmer bankar history create kar diya. Wo RIO Games me India ke one and only para-swimmer bhi the.

Paris 2024 Paralympics tak pahochne wale Suyash Jadhav ke illustrious career par ak nazar 

Suyash Jadhav ke paas bahot se medals hain. 30 saal ke Suyash ne first time 2016 German Swimming Championships me 3 silver medals jeetkar duniya ke samne apni pahchan banai.

2016 Paralympic Games ke liye apni historical qualification ke baad, Jadhav ne Jakarta me 2018 Asian Para Games me ak gold aur 2 bronze medals jeete. Unke 3 medals respectively 50m butterfly, 200m individual medley and 50m freestyle categories me aaye.

Suyash Jadhav ne 2021-22 me 21st National Para Swimming Championship me 3 medals jeete. Unhone 2023 me Adian Para Games me bronze medal bhi jeeta. Jadhav Tokyo 2020 Paralympic me apni heat me 5th position pe rahe. Unhe 2020 me Arjuna Award se sammanit kiya gaya.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »