Great Britain Ke Swimming Head Coach Furniss Ne Retirement Announce Kiya

Aquatics GB ne ak statement me kaha ki British swimming ke most successful head coach Bill Furniss ne apne 4th Olympic Games ki dekhrekh ke baad Friday ko retirement announce kiya.

Unke in charge ke time, Britain ne last month Paris me men’s 4×200 meter freestyle relay ka title retain rakhne ke saath 19 medals jeete. Britain Paris me swimming medals table me ak gold aur four silver ke saath 9th place par raha, jabki Tokyo me usne swimming me 4 medals ke saath apna best perform kiya tha.

Furniss ne kaha, “Iss great sport me lagbhag 50 saal ki involvement ke baad, ab mere liye retire hone aur apni family ke saath jada time spent karne ka sahi time hai.”

“Yah kaam bahot busy schedule wala hai, lekin mujhe ye bahot pasand hai- itne saare dedicated athletes ke saath kaam karna aur saath hi great number of driven, world class coaches and support staff ke saath milkar kaam karna mere liye saubhagya ki baat hai.”

70 saal ke Furniss, Rebecca Adlington ke coach ke roop me famous huye hain, jinhone 2008 me Beijing Games me do gold medals jeete the.

Unhone kaha, “Jabki mere liye personally iss position ko chhodne ka sahi time hai, ye Aquatics GB ke liye bhi sahi time hai. Ak naye coach ke pass LA 2028 ki tarf badhne ke liye poora Olympic cycle hoga.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »