4 Saal Ki Bachchi Swimming Pool Me Doobi – Indian Swimming News

Saturday ko yahan ak 4 saal ki bachchi swimming seekhte time swimming pool me doob gayi, jiske baad bachchi ke father ne lifeguard and trainer ke against FIR file karwai aur unhe bachchi ki death ke liye responsible bataya. Police ne Sunday ko cognizable offence ka case register kar investigation start kar di hai.

Ye incident Hockey Village me hui, jo ki state government dwara last year 2023 Men FIH Hockey World Cup ke liye banai gayi ak jagah hai. Sumeha Singh naam ki ladki ne around a month back swimming lessons start kiya tha. Saturday shaam 5 baje Sumeha apni mother ke sath swimming pool pahonchi. Ak trainer ki presence me jab wo pool me gayi toh 15-20 students the. Class khatm hone ke baad, students pool se bahar aa gaye. Jab Sumeha nahi lauti to uski Maa ne wahan present swimming pool ke staff se uske baare me puchha aur unhe bataya gaya ki shayad wo washroom gayi hogi. Sumeha ko wahan na paakar uski maa ne use har jagah dhundna start kar diya. Baad me Sumeha ki body pool me tairti hui dikhai di. Use paani se bahar nikala gaya aur Ispat General Hospital le Jaya gaya Jahan use dead declare kar diya gaya.

Baad me raat me Sumeha ke father Sunny Singh ne Chhend police station me FIR file karwai, jisme unhone allegations lagaye ki unki beti swimming pool ke trainers and lifeguard ki negligence ki wajah se doob gayi. Chhend police station ke sub-inspector N Tudu ne kaha, “Hamne investigation start kar di hai aur hum responsible logon ke against action lenge.”

 

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »