15-Year-Old Girl Ne Lagatar 8hrs Swim Karke Banaya Record: Indian Swimming News

Chandrakala Ojha, Jo Ki Chhattisgarh Ke Durg District Ki Purai Village Ki Hai Unhone Lagataar 9 Ghante Swim Karke Golden Book Of World Records Mein Apna Naam Register Kara Liya Hai.

Chandrakala, Jo Ki Class 10th Ki Student Hai Wo 5-Years-Old Se Hi Swimming Kr Rhi Hai Aur National Aur State-Level Players Ki Family Se Aati Hai. Unhone 3 Gold Aur 2 Silver Medals Bhi Jeete Hai Junior Open National Aur State Championships Mein. Unki Elder Sister Bhumika Ek National Swimmer Haui Aur Unke Younger Brother Siddharth Bhi State Player Hai.

Chandrakalabhi Apna Career Swimming Mei Banana Chahti Hai Aur Dusre Youths Ko Bhi Help Karna Chahti Hai Taaki Wo Ache Swimmers Bann Sakein. Unhone Kaha Ki Unke Village Mein Swimming Pool Ya Academy Honi Chahiye Taaki Aspiring Swimmers Ko Help Mil Sake.

Chandrakala Ne Subah 5:10 Am Par Purai Village Ke Pond Mein Prayers Recite Krne Ke Baad Swimming Start Kiya Tha Aur Unhone 1:10 Pm Tak Continue Swimming Kiya. Aisa Karke Unhone Apna Naam Golden Book Of World Records Mein Darz Kara Liya.

Is Record Ko Set Krne Ke Liye Chandrakala Ne Daily 10 Se 12 Hours Tak Practice Kiya Tha. Unke Coach Om Kumar Ojha Ne Kaha Ki Pure Village Ne Unhe Support Kiya Jisme Ek Group Unki Diet Dekhta Tha Toh Dusra Group Unki Sleep Ka Dhyan Rkhta Tha Taaki Unke Exercise Mein Kuch Kami Na Rah Jaaye.

Lagatar 8 Hours Tak Swim Krne Ke Baad Chandrakala Jab Water Se Bahar Aai Toh Sabhi Ne Unhe Congratulate Kiya. Purai Village Mein Presently 103 Young Swimmers Hai Jinhone National Aur State Games Ko Experience Kiya Hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »