Aap ne kai park jarur dekhe honge, par Ghaziabad ke is park ki baat hi alag hai. Ye country ka pahla aisa park hai jo green energy concept ko reality bana raha hai.
Solar panels ko is park mei present sabhi jagho par installed kiya gaya hai, floor se lekar swimming pool tak aur yaha tak ki sitting bench ki roof par bhi. Swimming pool bhi solar panels se consist hai jisse electricity generate hoti hai.
Ye country ka pahla solar technology park hai, jo ki ek attempt hai ye prove karne ke liye ki solar energy ek better option hai future ke liye.
Jab aap park mei enter karenge toh aapko solar panels dikhenge floors par jo electricity generate karte hai yahan tak ki trees bhi electricity produce karte hai q ki un par bhi solar panel install kar diye gaye hai.
Every year 5 lakhs units se bhi jyada electricity generate ki jaati hai. Is park ko build karne mei almost 3 years lage hai. Is park ko build karne ka reason tha electricity se problem hona aur environment ko bhi improve karna. Ye park Central Electronics Limited ke initiative par built kiya gaya hai.
Chetan Prakash Jain jo ki CMD hai CEL ke unhone kaha, “Ye humlog ke liye ek new approach ka result hai aur humne kuch different karne ka bhi decide kiya hai. Is park mei, aap har jagah solar panels dekh sakenge, chahe wo Swimming pool ho, benches ho aur walking area hi q na ho.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi