Korea Ki Lee Eunji Ne 14-Year-Age Mei Hi Break Kiya 100 Back National Record

Men’s 200m free mei Hwang Sunwoo ke World Junior mei record set karne ke baad, Korean youngster Lee Eunji ne bhi apne hi record ko break kiya 2021 Korean National Trials mei.

Lee, jo ki 14 years age ki hi hai, already women’s 200m back mei Olympic Games mei qualify ho chuki hai. Meet mei pahle 2:09.87 ki timing ke saath unhone lifetime best clock kiya tha. Aur is baar unhone 1:00.03 ki timing ke saath 100m back sprint mei new national record to set kiya hi aur gold bhi jeeta.

Is meet mei enter hone se pahle Lee ka lifetime best 1:01.06 tha. Jo unhone last November Korean Championships mei produced kiya tha. Kuch months ke andar hi unhone over a second drop kiya aur new PB banaya 1:00.03 ka.

Lee ka 1:00.03 timing 100m back mei United States National Age Group Record mei check-in hoga. Aur iske saath hi unhone world record holder Regan Smith ke 13-14 age group ke best record 1:00.26 ko bhi break kiya jo unhone 2016 mei banaya tha.

Aur iske saath hi unhone FINA ‘A’ cut ke liye required time 1:00.25 ko bhi achieve kiya aur  14-years-old ki Lee ab Tokyo Olympics mei apne 2nd event ke liye qualify ho chuki hai.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »