Houston Me Hone Wali NWAL Summer Legaue 2020 Hui Cancel

Houston ki 2 biggest summer leagues jo ki United States ka 5th-largest metropolitan hai unhone summer 2020 mei hone wale competitions ko cancel kar diya hai. Dono ne Northwest Aquatic League (NWAL) aur West Houston Aquatic League (WHALe) ne apna summer season skip karne ke liye vote kiya hai.

Sirf kuch hi teams hongi dono leagues ki taraf se jo shortened “practice only” seasons ke liye weighing options hai.

NWAL United States ki 2nd largest summer league hone ka aur Texas ki biggest league hone ka claim karti hai.

“Hum summer league sizes ki kisi bhi definite rankings ke bare mei nahi jaante, NWAL definitely one of the biggest hai. Ye home league hai almost 100 teams jisme over 15,000 swimmers Honge aur iske borders around jo land area cover karta hai wo 4000 square miles se bhi jyada Ka Hai- jo ki 2 U.S. states se bhi bada hai. Kuch teams aisi bhi hai jisme 350 se bhi jyada swimmers hai.

NWAL season normally early May se start hota hai aur June ke end mei khatam hota hai. Ye league early 1970s mei conceived ki gai thi ek Shell Oil employees ke dwara.

NWAL ke southern border ki taraf WHALe summer league hoti hai jo west Houston ko large suburb of katy ki tara serve karti hai. Ye NWAL ki tarah utni badi toh nahi hai par is league mei 35 teams hai aur more than 4000 swimmers bhi hai. Saath mei dono league ke paas around 20,000 swimmers hai.

In dono league ne combine kai saare nationally known swimmers produce kiye hai. Jisme Emma Sticklen, the #9 recruit thi 2020 ke high school class mei, former National Age Group Record holder Maverick Smalley jaise naam include hai.

Aur bhi Large summer league mei se, Nashville Swim League, Atlanta Swimming Association, aur Montgomery County Swim League ne abhi tak apna final decision announce nahi kiya hai.

Latest Indian Swimming News Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jarur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »