Freestyle Me Master Banne Ke Liye Ye 3 Tips Follow Kre

Master Technique : Front Crawl

Freestyle Really Me Ek Stroke Nhi Hai, Lekin Swimming Competition Me Ek Category Hai Freestyle Race Me Sbse Normal Aur Famous Stroke Front Crawl Hai Kyuki Yeh Sbse Fast Aur Easy Hai Isi Reason Se Freestyle Word Ko “Synonym For Front Crawl”. Ke Roop Me Use Kiya Jata Hai

Front Crawl Ke Liye Apko Kicking Ke Sath Aage Badhte Samay Apne Legs Ki Frequency Same Rkhni Rhti Hai. Alternating Strokes Ke Sath Front Crawl Swimming Sikhne Aur Refine Kerne Ke Liya In 4 Rules Ko Follow Kre

Step 1: Body Position

Apni Body Ko Ekdm Samtal Yani Ekdm straight Rakhe ,Pani Ki Surface Ke Sath Apne Body Ko Pani Me Niche Jhuka Ke Rakhe.

Step 2: Arm Movement

Apke Arm Ki Speed Ko Do Part Me Divide Kiya Ja Sekta Hai Jisme Kewal Do Rules Hai- Pull Aur Recovery.

Pull- Apne Hatheliyo Ko Thoda Cup Shape Me Fold Krke Rakho Phir Uske Sath Ek Curvy Pull Kro, Sabhi Famous Swimmers Ki Yhi Style Hai.(straight Pull Finish Ke Time Kar Skte Hai)

Recovery:- Pull Phase Ko Khtam Karne Ke Sath Apne Hath Ko Jab Water Surface Ke Bahar Nikale To Uske Baad Relax Mode Me Apne Arm Ko Dobara Water Surface Me Daal Kar Usi Tarah Pull Kre.

Step 3: Breathing Technique:-

Ye Ap Apne Ap Se Choose Keriye Ki Apko Kis Side Se Breath Lena Hai Left Or Right Waise Sbse Shi Ye Hoga Ki Ap Dono Taraf Yani Left Se Bhi Aur Right Se Bhi Breath Le. Ye Baat Apko Yaad Rakhni Hogi Ki Breath Lete Time Apki Hand Position Gadbad Na Ho Matlab Breath Lete Time Apke Hand Ruke Na, Aap Apne Hands Ka Bhi Use Keriye Aur Breath Lete Rahiye Ek Bahut Normal Mistake Hai Jo Hum Sabhi Kr Dete Hai Jaise Humko Ye Lagta Hai Ki Hum  Apna Head Upar Utha Ke Aasani Se Breath Le Sekte Hai But Isse Apki Speed Kafi Kam Ho Jaygi Aur Ye Technique Apke Back Part Ko Pani Me Duba Bhi Sekti Hai.

Step 4: Leg Action:- Ab Hum Aate Hai Leg Action Pe Apko Dhyan Rakhna Hai Ki Ap Apne Jangho Ke sath krte hue apne ghutno ko maximum 45-60 degree Tak mod Kar kick kre, and ek flow me kick kre. And agar aap 45-60 degree se jyada mod Kar kick krte Hai to Aapki kick Se ek resistance bnne lgega, jisko Maine apne YouTube channel par btaya bhi hai.

https://youtu.be/DWEhjg4onbk

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »