Swimming Ki Importance Ko Janiye

Famous Player Aur America Ke Powerful Swimming Player Michael Phelps Ke Naam Ko To Ap Log Jante He Honge Jisne Olympic Ke History Me Akele Sbse Jyada  Award Paya Hai Swimming Ke Jadugar Phelps  Jb Pool Me Hote Hai Tb Unka Samna Kerne Wala Koi Nhi Hota Hai Weh Apne App Me Swimming Ke King Hai 6 Foot Aur 3 Inch Ke Michael Phelps Ne 31 Saal Ki Age Me He Akele 28 Medal Apne Naam Kiya Jeha Pehuchna Kisi Player Ke Liye Ek Sapna Hai.

Ab Sawaal Ye Uthta Hai Ki Michael Phelps Aise Kaise Kr Lete Hai? Iska Seedha Jewab Hai Wo Confident Aur Fit Hai Unki Body Ko Dekh Ke Andaja Lgaya Ja Sekta Hai Ki Weh Swimming Ki Wajeh Se Kitne Fit Rehte Hai Ji Haan Agar Ap Kuch Bhi Nhi Kerte Hai Aur Apna Pura Dhyan Sirf Swimming Pe Lgate Hai To Fitness Ke Lihaaj Se Apko Bahut Fayda Milega World Me Australia Aisa Desh Hai Jeha Swimming Bahut Famous Hai Yha Hr Koi Swimming Ko Khub Like Kerta Hai Aur Yha Ke Bachho Ko Bachpan Se He Swimming Sikhaya Jata Hai.

Normally Dekha Jata Hai Ki City Me Kuch Log Week Me Ek Bar Zaroor Swimming Kerte Hai Iska Reason Hai Khud Ko Fit Rekhna Aaj Kl Kuch Schools Ke Syllabus Me Swimming Bhi Hai Taki Students Fit Rhe Aur Apni Study Me Pura Dhyaan Lga Ske Swimming Se Hme Mantel Relief Milti Hai Aaiye Jante Hai Swimming Ke Fayde Ke Bare Me.

(YEH ARTICLE KO PRANJAL PAL DWARA LIKHA GYA HAI, JO KI EK PROFESSIONAL SWIMMER HAI)

 

  • Weight Me Kmi

 

Log Apna Wait Loss Kerne Ke Liye Cycle Chlate Hai Running Kerte Hai Aur Kuch Log Gym Bhi Kerte Hai Lekin Kya Aap Jante Hai Ap Swimming Se Bhi Apna Wait Loss Kr Sekte Hai Aisa Mana Jata Hai Ki Sirf Aadha Ghanta Swimming Kerne Se Ap 440  Kilo Calorie Burn Kr Sekte Hai

 

  • Stress Ko Km Kerta Hai Swimming

 

Aj Har Koi Stress Se Door Rehna Cahta Hai Lekin Hum Lo Kisi Na Kisi Baat Se Stress Me Aa He Jate Hai Kya Ap Jante Hai Swimming Kerne Se Ap Apna Stress Km Kr Sekte Hai Swimming Apke Mood Ko Achha Kerti He Hai Saath He Apko Fit Bhi Rekhti Hai Swimming Stress Ke Alawa Awsaad, Bhrm Adi Problems Ko Bhi Km Krti Hai

 

  • Bimari Ko km Karta Hai

 

Swimming Kerne Se Apki Heart Problem Km Ho Jati Hai Iske Alawa Ap Blood Sugar Blood Pressure Aur Cholesterol Ko Bhi Control Kr Sakte Hai  Isliye Ydi Khud Ko Bimario Se Door Rakhna Hai To Regular Simming Kere

 

  • Neend Acchi Aati Hai  

 

Body Ko Neend Ki Utni He Zaroorat Hai Jitni Khane Peene Ki Neend Ka Na Aana Kyi Problems Ki Nishani Hai Ydi  Aap Bhi Neend Na Ane Ki Wejeh Se Preshaan Hai To Swimming Kijye Isse Apko Bahut Achhi Neend Aaygi

 

  • Koi Bhi Kr Sekta Hai Swimming

 

Iska Sabse Bada Fayda Ye Hai Ki Ise Koi Bhi Kr Sekta Hai Swimming Kern Ke Liye Kisi Umra Ki Koi Seema Nhi Hai Ise Bachhe Budhe Aurte Sb Kr Sekti Hai Swimming Kerne Se Ap Ko Bahut Ache Result Milenge

3
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

3 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
Mannu
7 years ago

Waise dekha jay to pani logo ko aakrshit karta hai aur log swimming bhi karna chahte hai. Magar sabse badi samsya yah hai ki open water anjan jagho par swimming karna uchit nahi hai. Aap kai bar sunte honge ki is talab me bache nahane gaye aur dub jane se unki maut ho gayi. To sabse badi samsya ye hai ki open water danger jone hai. Jyadatar swimming pool bade shahro me paye jate hai. Gaon kasbe ke logo ko yah suwidha nahi mil pati jisase we achhute rah jate hai. Aur jin bacho ke andar chhupi huwi prativa hoti hai wah bahar nahi aa pati.
. . . . . To mai sarkar se agrah karta hu ki… Read more »

sanuj srivastava
Reply to  Mannu
7 years ago

aap ki baat 100% true hai isliye maine swimming ke bare me Hindi blog likhna shuru kiya jisse log swimming ki ahmiyat ko jane or swimming ko jrur se jrur sikhe.. swimming ek khel nahi balki jivan ko bhi bachati hai… jai hind jai bharat

sanuj srivastava
Reply to  Mannu
7 years ago

maine apne city me hi aise kai baccho ko dekha hai jo national me accha perform krne ki kabiliyat rakhte hai lekin resources ki kami ke karan unko sahi training nahi mil pati hai or govt bhi dhyan nai deti hai.. lekin ham apni traf se pura prayash krte hai

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »