2 Saal Baad Swimming Pools Hone Ja Rhe Hai Open- Indian Swimming News

Mangaluru City Corporation Ka Ek Akela Swimming Pool Jo Ki Lalbagh Mei Hai Wo 2 Years Ke Lambe Wait Ke Baad Sbhi Ke Liye Open Kr Diya Gaya Hai.

MCC Ne Government Ke Recent Direction Ke Baad Public Ke Liye Mangala Swimming Pool Open Krne Ka Decide Kiya Hai. Uske According Hi MCC Ne Pool Ki Necessary Maintenance Karana Start Kr Diya Hai Tiles Ko Replace Karaya Ja Rha Hai. Ye Pool March Ke End Mei Open Kr Diya Jayega, Pool Manager Ramesh Bejai Ne Kaha.

Unhone TOI Se Kaha Ki Pandemic Ki Starting Mei Hi Pool Close Kr Diya Gya Tha Aur Baad Mei Ise Sirf Sports Batches Ke Liye Open Kiya Gya, Specially Unn Swimmers Ke Liye Jo District, State Aur National Events Mei Participate Krte Hai.

“Hum Public Ko Entry Coupons Se Allow Nhi Kr Rhe The. Six Months Phle, Hmne Unko Allow Krna Start Kiya Jinke Paas Unke Vaccination Status Ke Base Pr Annual Passes The. Ab Govt Ne Rules Me Changes Kiye hai Jisse Thoda Relax Mila Hai Aur MCC Ne Pool Ko Ready Krne Ke Liye Necessary Maintenance Step Bhi Liye Hai. Ek Baar Pool Open Hone Ke Baad, Sbhi Logon Ko (Including Children) Ko Pool Use Krne Ke Liye Allow Kr Diya Jayega, Unhone Kaha.

Mayor Permanand Shetty Ne Kaha Ki Repair Work Quickly Progress Kr Rha Hai. “Government Ne Direction Diya Ki Wo Sbhi Log Jinhone Vaccine Ke Two Doses Le Liye Hai Unhe Allowed Kiya Jayega, Uske Baad Hm Log Ne Bhi Public Ke Liye Pool Open Krne Ka Decide Kr Liya. Ab Aur Bhi Lifeguards Appoint Kiye Jayenge Contract Basid Pr.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Pdhne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »