14 Saal ke Moh. Salman Qureshi Ke Sath Pool Me Hua Hadsa

Hello Guys Kaise Hai Ap Sab I Hope Sab Kafi Achhe He Honge To Guys Mai Aj Phir Ap Sab Ke Liye Ekdm Fresh Aur New Article Le Kr Aaya Hu Guys Mera Apse Dava Hai Ki Swimming Ke Jaise Articles Hum Log Late Hai Agar Aap Usko Follow Karte Honge To Apko Improvement Jarur Mil Rhi Hogi. Guys To Aaj Ke Article Ka Topic Ek News Hai Indian Swimmers Ke Liye Aur Jo Log Humari Website Swimswam.Com/Hindi Pe First Time Visit Kr Rhe Hai Wo Humari Website Ko Subscribe Kerna Na Bhule Taki Hum Log Apke Liye Aur Interesting Articles La Sake. Ye Article Pranjal Pal Ke Dwara Likha Gya Hai

Hyderabad :- Mohammed Anwar Qureshi Wednesday Ko Apni Beef Shop Pe Apna Kaam Kerne Mai Busy The Jab Unke Kisi Relative Ne Btaya Ki Unka 14 Years Old Beta(Son) Mohammed Salman Qureshi Ko Osmania General Hospital Mai Shift Kr Diya Gya Hai Actually Salman Apni Swimming Classes Ke Liye Gye The Aur Doobne Ke Karen Unki Death Ho Gyi Thi Salman Ko Swimming Kerne Aur Sikhne Mai Kafi Interest Tha Aur Is Chij Ke Liye Salman Ne Apne Ghar Walo Se Permission Bhi Le Li Thi.

Jab Salman Ke Father Ko Pta Chala Ki Unke Bête Ke Sath Accident Hua Hai Pool Pe Tab Unhone Ne Socha Ki Halki Si Chot Ya Kuch Aur Hua Hoga Lekin Jab Wo Hospital Pehuche To Unko Btaya Gya Ki Wo Swimming Pool Mai Dooba Hua Tha Salman Ki Family Samajh He Nhi Pa Rhi Hai Ki Unke Sath Aakhir Hua Kya Hai Salman Sirf 14 Years Ke He To The Jab Salman Ka Antim Sanskar Ho Rha Tha Tab Unhko Unke Favorite New Dress Pehna Ke Unka Antim Sanskar Kiya Gya Aur Waise Bhi Agar Kisi Ke Family Mai Young Ladke Ki Death Ho Jay To Koi Bhi Samjh He Nhi Payga Ki Aakhir Ye Hua Kya Hai

Is Accident Ke Bad Salman Ke Father Anwar Ka Kehna Hai Ki Ye Accident Sirf Pool Ke Coach Aur Management Ki Careless Ke Reason Se Hua Hai Unhone Kha Jab Mai Pool Ke Management Se Hafiz Baba Nagar  Ke C-BLOCK Mai Jo Pool Hai To Unhone Mujhse Wada Kiya Ki Wo Mere Do Beto Ke Liye 800 Rupee Fees Lenge Pool Ki Police Ko Swimming Pool Management Ke Opposite Action Lena Cahiye Aisi Anwar Ji Ne Mang Kri Hai.

Salman Apne Bhai Ghouse Qureshi Aur Apne Cousin Aslam Qureshi Ke Sath Swimming Kerne Gya Tha Coach Ne Ye Nhi Dekha Ki Salman Pool Ke Deep Water Area Mai Jump Kiya Hai Tab Tak Coach Ne Dekha Tab Tak Salman Behosh Ho Chuka Tha.

Dekhiye Doston Is Accident Ki News Sun Ke Apke Andar Ek Dar  Baith Gya Hoga Ki Swimming Khi Danger To Nhi Hai Humare Liye To Mai Apko Bta Du Swimming Apke Liye Bilkul Bhi Dangerous Nhi Hai Ha Agar Ap New Student Hai Swimming Ke To Apko Thora Dhyan Bartna Hoga Apko Ye Dhyan Rakhna Hoga Ki Jab Tak Ap Puri Tereh Se Swimming Na Sikh Lo Tab Tak Ap Deep Water Mai Na Jay Aur Jab Jay To Ek Bar Apne Coach Ko Jaroor Inform Kre Taki Wo Apko Protect Kr Sake.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »