14 Saal Ka Nikharta Hua Talent “Akash”

Tamil Nadu Ka Honhar Swimmer S Akash Jo Ki Sirf 14 Years Ka Hai And Akash Ne Velammal Vidyalaya Ke Student Hai And National School Games Federation Dwara Ayojit Swimming Events Me Kayi Sare Medals Bhi Apne State Ke Name Kiye Hai.

Tamilnadu Ki Sarkar Ne Iske Talent Ko Nikharne Ke Liye Kafi Sare Prayash Kiye Hai And Koi Kasar Nahi Chhodi Hai. Akash Ne Pichle 5 Saal Me 150 Se Jyada Medals Jeete Hai And 50m Backstroke Me Akash Ne 38.85 Sec Ka Time Bhi Nikala Hai. 14 Saal Ki Age Me Ye Achievements Kafi Remarkable Hai.

“Sarkar Dwara Ye Recognition Hasil Karna Bahut Acha Lagta Hai. Isse Mujhe Future Me Aur Accha Karne Ke Liye Ek Motivation Milti Hai”- S Akash

S Akash Genetically Sports Background Se Aata Hai, Uske Father Bodybuilder Rah Chuke Hai And Mother National Level Ki Volleyball Player. Akash Ne Btaya Ki Usne Swimming Isliye Choose Kiya Kyuki Ye Keval Ek Sports Hai Jisme Body Ka Har Ek Part Hmare Mind Ke Sath Ek Sath Sync Hota Hai.

Akash Ne Swimming 8 Saal Ki Age Me Shuru Kari And Tabhi Se Hi Wo Apni Diet Bhi Proper Way Me Le Rha Hai, Akash Ke Parents Bhi Akash Ke Sports Ko Lekar Behad Supportive Hai.

Halaki COVID Ke Chlte Akash And Baki Indian Swimmers Ki Swimming Lagbhag 1 Saal Se Ruki Hui Hai, Lekin Akash Ne Apni Body Ko Fit Rakhne Ke Liye Ghar Par Hi Dryland Training Puri Mehnat Ke Sath Kri Hai.  Akash Michael Phelps Ke Fan Hai.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »