Weight Loss Se Total Fitness Tak Sab Ke Liye Swimming Hai Best Sport

Agar Aap Fit Hone Ke Liye Try Kar Rahe Hai Ya Aim Kar Rahe Hai Weight Loss Ke Liye, Toh Diet Aur Exercise Aap Ke Liye Best Options Hai. But Most Fitness Lovers Ke Liye Right Training Aur Cardio Preferred Options Hai. In Sab Ke Chakkar Mei Swimming Ek Underrated Activity Bann Gai Hai, Jo Swimming Calories Burn Karne Ke Saath Saath Body Ke Extra Weight Ko Kam Bhi Karti Hai.

Swimming Offer Karti Hai Full Body Workout Aur Aapke Muscles Ko Bhi Tone Karti Hai Aur Sath Hi Sath Endurance Bhi Build Karti Hai. Ye Aapke Cardio Vascular Health Ke Liye Bhi Kafi Helpful Hai. Low-Impact Activity Hone Ki Wajah Se Ye Joints Ko Impact Nahi Karti Hai Aur Ye Unlogo Ko Bhi Advised Ki Jaati Hai Jo Arthritis Or Injuries Se Suffer Kar Rahe Hai. Ye Pregnant Woman Ke Liye Bhi Safe Exercise Hoti Hai.

“Ek Hour Ki Swim Se Individuals 400 Calories Tak Burn Kar Sakti Hai. Resistance Gear Ka Use Kiya Jaaye Toh Wo Workout Ko Aur Bhi Intense Bana Deta Hai,” -Integrative Nutritionist Payal Kothari Ne Kaha.

Sirf 30 Minutes Ki Swimming Aapko Flexible Banaye Rakhne Mei Help Karti Hai, Inflammation Reduce Hoti Hai Aur Depression & Stress Relieve Karne Mei Bhi Help Milti Hai, Carlyne Remedios Ne Kaha Jo Ki Group Manager Hai Clinical Practices And Nutrition, Digestive Health Institute Me.

Swimming Kis Tarah Weight Lose Karne Mei Aapki Help Karti Hai ?

Aap Wonder Kar Rahe Honge Ki Swimming Kis Tarah Weight Lose Karne Mei Aapki Help Karti Hai? Ye Sabhi Muscles Group (Large Ho Ya Small) Ka Use Karti Hai, Aur Workouts Ke Comparison Mei Swimming Jaldi Weight Loss Karti Hai. “Resistance Ke Saath Swimming Karna Treadmill Par Hone Se Bhi Jyada Hard Hota Hai. Body Ko Bina Stress Kiye Huye Bhi Aap Intensity Ko Increase Aur Decrease Kar Sakte Hai. Ye Jyada Calories Burn Karne Mei Help Karta Hai Aur Swimming karte wakt Core Par Continuously Jor Padta Hai Jisse Belly Fat Jaldi Burn Hota Hai. Swimming Ke Baad Crunches Karne Se Abs Toning Mei Help Milti Hai,” Kothari Ne Kaha.

Swimming Ki Wajah Se After-Burn Bhi Hota Hai, Jiski Wajah Se Swimming Karne Ke Baad Bhi Calories Burn Hoti Rahti Hai. Isse “Aap Muscle Mass Increase Karte Hai Jo Aapka Metabolism Increase Karta Hai Aur Ye Tab Fat Burn Karne Mei Help Karta Hai Jab Aap Exercise Nahi Bhi Kar Rahe Hote Hai,” Remedios Ne Explain Kiya. But Sabse Important Baat Ye Hai Diet Ki Importance Bahot Badh Jaati Hai Jab Aap Swimming Ko Apna Main Workout Bana Lete Hai Tab. “Agar Aapka Aim Hai Weight Loss Karna With The Help Of Swimming Toh Aapko Jyada Calories Nahi Khana Chhaiye,” Kothari Ne Kaha.

Weight Lose Karne Aur Apne Abdominal & Stomach Muscles Ko Strengthen Aur Tone Karne Ke Liye Breaststroke, Freestyle, Sidestroke, Butterfly Aur Backstroke Try Kijiye. Beginners Ke Liye Best Rahega Ki Wo 30 Minutes Ke Moderate Intensity Swimming Se Start Kare Aur Use Week Mei 3-5 Times Kare Aur Jab Aap Regular Swimmer Bann Jaye Toh 1 Hour Tak Bhi Practice Kar Sakte Hai. – HindustanTimes

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »