Technique, Flexibility and Right Training Se Behtar Hogi Dolphin Kick

Underwater Dolphin Kick Swimming Me Ek Khas Role Play Karta Hai, Dolphin Kick Ka Use Simmer Start Me And Turn Me Use Karte Hai Iske Alawa Butterfly Ki Kick Me Bhi Isi Technique Ka Use Hota Hai And Kafi Sare International Events Me Michael Phelps Ne Apni Underwater Dolphin Ke Dam Par Hi Puri Race Apni Traf Kari Hai. To Aab Aap Ki Bari Hai Ki Aap Bhi Ab Apni Dolphin Kick Ko Uss Level Par Le Jaye Ki Turn, Start Me Aapko Piche Krne Wala Koi Swimmer Na Rhe. To Chaliye Dekhte Hai Kuch Khas Points Jispar Work Karke Ek Behtareen Dolphin Kick Develop Kari Ja Skti Hai.

Ek Behtar Dolphin Kick Ke Liye 3 Points

  1. Technique Ki Proper Understanding
  2. Flexibility
  3. Right Training

Technique

Fast Kick + Less Drag = Fast Swimming

Sahi Technique Ko Janne Ke Liye Sabse Phle Aapko Internet Ki Help Se Kuch Aise Video Dekhne Honge Jisme Aapko Clearly Ye Smjh Me Aa Jaye Ki Dolphin Kick Me Body Ke Kis Kis Part Ka Use Jyada Hota Hai Iske Baad Aap Apne Dolphin Kick Ka Video Bnwa Kar Use Baar Baar Dekhiye Aur Apne Coach Ke Sath Bhi Us Video Ko Share Kriye Taki Technique Me Jo Bhi Kmi Ho Wo Dekhi Ja Ske. Jo Jo Galtiya Mile Use Kahi Note-Down Kar Lijiye Aur Fir Usi Points Ko Improve Krne Ke Liye Training Kariye. Isi Se Aap Technique Ko Improve Kar Skte Hai.

Flexibility

Flexibility Ek Aisi Chiz Hai Jo Ki Swimmers Ki Body Ke Sath Hi Judi Hui Hai. Swimmers Flexibility Ke Liye Bhi Jane Jate Hai, Aur Swimming Me Flexibility Ki Bhi Bahut Jarurat Padti Hai Or Ek Achi Dolphin Ki Puri Lower Body Ki Flexibility Par Hi Depend Rhti Hai Isiliye Swimmers Ko Ye Bola Jata Hai Ki 30-40m Phle Flexibility Bdhane Wali Exercise Kriye Uske Baad Hi Pool Me Utariye.

Right Training

Lekin Agar Apko Proper Training Nahi Di Jaye To Upar Bnaye Gye Dono Point Bekar Hai, Kabhi Bhi Koi Chiz Hasil Karne Ke Liye Jaldibaji Na Kre Aur Na Jyada Late Kre. Aagar Aap Ek Shi Direction Ke Sath Training Kar Rhe Hai To I’m Sure Ki Apka Improvement Hona Hi Hai.

Join Us:-

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »