Swimmer Richa Mishra And Coach Charu Mishra Stray Animals Ko Pahucha Rahi Food

India Me COVID-19 Ko Control Krne Ke Liye Total 21 Days Ka Lockdown Kiya Gaya Jiska Impact Na Sirf Insano Par Hi Pda Balki Stray Animals Par Bhi Iska Asar Dikhne Laga Kyuki Stray Animals Ke Liye Ab Food Ko Find Karna Pahle Se Jyada Difficult Ho Gaya Hai. Lockdown Se Phle Stray Animals Apne Food Ka Source Kisi Restaurants, Meat Shop Jaisi Jagaho Se Easily Find Kar Lete The. Ab Ye Animals Bhuke Idhar Udhar Food Ke Source Find Krne Ke Liye Ghumte Rahte Hai.

Inke Liye Kafi Sare NGO Kaam Kar Rhi Hai Iske Alawa Indian Swimmer Richa Mishra Apni Sister Charu Mishra(Jo Ki Richa Ki Coach Bhi Hai) Ke Sath Stray Animals Ke Liye Samne Aayi Hai And Inn Animals Ke Liye Food Provide Karwa Rhi Hai. Swimmer Richa Mishra And Unki Sister Charu Mishra Ka Hmesa Animals Se Ek Love Bond Raha Hai.

Richa Mishra Ne Apne Facebook Ki Latest Post Par Btaya Ki Unhone Apni Sister Ke Sath Kuch Din Phle Stray Animals Ko Food Provide Krna Start Kiya. Jisko Dekh Kar Or Bhi Log Unse Judte Gaye And Stray Animals Ki Help Ke Liye Aage Aaye. Unhone Bataya Ki Wo Or Unki Sister Logo Dwara Ki Gayi Help Ko Stray Animals Tak Pahuchane Ka Kaam Kar Rhi Hai. And Unke Pass Stray Animals Ko Feed Krane Ki Official Permission Bhi Hai.

India Me stray dogs ki population around 30-35 Million hai, agar aapko bhi iska part bnna hai to aap Richa Mishra Ya Charu Mishra Se Jud Sakte Hai.



0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »