Phagwara School Ke Swimmers Ne Jeete 59 Medals

The Tribune Ki News Report – Cambridge International School, Phagwara, Ne Jalandhar Sahodaya School Complex Dwara Jalandhar Ke Dav School Mei Organised Inter-School Swimming Competition Mei Runners-Up Trophy Jeeti.

Is Event Mei Jalandhar, Hoshiarpur, Aur Kapurthala Districts Ke 360 Se Jyada Students Ne Participate Kiya. Cambridge International School, Phagwara, Ke 27 Students Ne Participate Kiya Aur 59 Medals Jeete.

12th Class(Commerce) Ke Pratham Sondhi(Under-19) Ne 50m Breast Stroke, 50m Back Stroke Mei Gold Medal, 50m Butterfly Stroke Mei Silver Medal Aur 400m Medley Relay Mei Bronze Medal Jeeta. 9th Class Ke Surjeet Singh Bansal(Under-17) Ko 100 Aur 200m Butterfly Stroke Mei Silver Medal, 200m Freestyle, 400m Individual Medley Aur 400m Freestyle Mei Bronze Medal Mila.

Class 9th Ke Ansh Dhunna (U-17) Ne 800m Freestyle Aur 400m Freestyle Relay Mei Bronze Medal Jeeta. 10th Class Ke Sourav Gogna (U-17) Ne 500m Breast Stroke, 100m Breast Stroke, 200m Breast Stroke Aur 400m Freestyle Mei Participate Kiya Aur Har Category Mei Bronze Medal Jeeta.

Class 7th Ke Bhavesh Gupta, Bhavesh Arora, Manthan Gaba, Aniket Nanda Aur Agam Arora (U-14) Ne 400m Medlay Relay Aur 400m Freestyle Mei Participate Kiya Aur Bronze Medal Jeeta.

8th Class Ke Vansh Jain, Yaksh Kalra(U-14) Ne 400m Medlay Freestyle Relay Aur 100m Butterfly Mei Koi Kasar Nahi Chhodi Aur Bronze Medal Jeeta. Class 5th (U-11) Ke Uday Pratap Ne Bhi 50m Breast Stroke Aur 50m Butterfly Stroke Mei Apni Pratibha Aur Talent Dikhaya  Aur Usme Bronze Jeeta.

Ladkiya Ne Bhi Shandaar Performance Diya. Class 8th Ki Akshita Kalra Ne 50m Butterfly Stroke, 200m Individual Medlay,50m Freestyle Mei Silver Medal 100m Freestyle Mei Gold Medal Haasil Kar Shandaar Uplabdhi Dikhai Hai. Tanya Puri (U-11) Class 6th  Ne 50m Butterfly, Aur 50m Freestyle Mei Bronze Medal Jeeta.

Turvi Chander, Agrima Sharma Aur Yugisha Ne 4*100m Freestyle Relay Mei Participate Kiya Aur Isme Silver Medal Jeeta, Is Prakaar Team Ko 2nd Position Haasil Karne Mei Kaafi Help Mili.

School Ke Principal Jorawar Singh Ne Students Ko Badhai Di Aur Winners Ko Ek Special Assembly Mei Certificates Aur Medals Dekar Felicitate Kiya.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »