Khelo India: 12 Athletes Dope Test Me Positive 5 The Gold Medalist

Khelo India School Games 2018 Me Total 12 Athletes Jisme Se 5 Gold Medalist The We Sab Test Me Positive Nikle Hai. Ye Isliye Shocking Hai Kyuki Khelo India School Games Me Under 17 Ke Events Organize Krwaya Gye The.

National Anti Doping Agency (NADA) Ne Jin 12 Athletes Ko Notified Kiya Hai Unme Ek Girl Bhi Hai Jo Ye Test Fail Ho Gyi Hai And Test Me Positive Payi Gayi Hai. Khelo India School Games Ka Ye Phla Hi Event Tha Jo 31 January Se 8 Feburary Tak Chla Tha.

Athletes Me Koi Swimmer To Nahi Tha Lekin Ye Jaanna Ham Sab Ke Liye Behad Jaruri Hai Kyuki Kal Ko Koi Swimmer Bhi Galat Chiz Ka Istemal Kar Skta Hai And Isse Usko And Uske Family Ko Dikkato Ka Samna Karna Pdega, Isliye Ye News Parents And Coaches Ko Warn Karne Ke Liye Hai Ki Unko Apne Swimmers Ko Doping Se Bachana Hai. Under 17 Me Doping Me Aana Ke Matlb Hai Ki Sports Ke Shuruwat Hi Galat Tarike Se Kari Ja Rhi Hai. Khair Ham News Ko Dekhte Hai:

Jo 12 Athletes Test Me Positive Pkde Gaye Hai Unme 4 Wrestlers, 3 Boxers, 2 Gymnasts And 1-1 Athletes Judo, Volleyball And Athletics Se Hai. And Inn 12 Me Se 5 Gold Medalist Hai. 3 Wrestling Ke Gold Medalist Hai And 1-1 Gymnastics And Volleyball Ke. Athletes Test Me Positive Furosemide And Terbutaline Ke Liye Hue Hai.

“Halaki Inme Se Abhi Koi Bhi Suspend Nahi Kiya Gya Hai”- Source

Terbutaline Ka Use Asthma Ke Treatment Ke Liye Kiya Jata Hai Lekin Doping Me Iska Use Athletes Ke Performance Ko Improve Karne Ke Liye Kiya Jata Hai. Furosemide Short-Term Weight Loss Ke Liye Use Hota Hai.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »