Kenya Swimming Federation Ke Upar Se Jald Hat Skta Hai FINA Ka Indefinite Ban

Jyada Waqt Nhi Bacha Hai Ki Kenya Swimming Federation (KSF) FINA Ke Good Side Mei Phir Se Wapas Aa Jayegi.

KSF Stakeholders World Governing Body Se Mil Kar Elections Na Hold Kar Pane Ke Repeated Failures Ke Upar Charcha Karenge.

International Rules Ke Compliance Mei New Elections Pending Rahne Ki Wajah Se KSF Ko Sbse Pahle 2019 Mei Suspend Kiya Gaya Tha.3 Saal Ke Baad 2022 Ke May Mei Federation Ko 2020 Mei Elections Ki 2 Deadlines Meet Na Kara Pane Ki Wajah Se Indefinitely Banned Kar Diya Gaya Tha.

In Sanctions Ne Kenyan Athletes Ko Home Nation’s Flag Ke Under Compete Karne Se Banned Kar Diya Gya Tha Aur Officials Ko Bhi FINA Congress Aur Other Non-Sporting Events Mei Participate Krne Se Mana Kar Diya Gaya Tha.

“Kenyan Swimmers Events Mei Grace Kr Rhe Hai But Kenyan Flag Ke Under Nhi, Aur Stakeholders Ab Ise Change Karna Chah Rhe Hai,” Francis Mutuka, National Olympic Committee Of Kenya Ke Secretary General Ne Kaha. Mutuku FINA Stabilization Committee Ke 3 Members Mei Se Ek Hai Jo Ki July Se Hi KSF Ke Day-To-Day Operations Dekh Rhe Hai.

Like SwimSwam Hindi On Facebook

1
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

1 Comment
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
Kurt Dickson
1 year ago

Can I buy a vowel Pat?

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »