Indian Swimmers 2024 Tak Global Events Me Jeet Skte Hai Medals

India mein swimming ek sport ki tarah na sikha kar safety measure ke jaise sikhai jaati hai. Halaki successful sports person ke liye sporting discipline mei bahot struggle raha hai lekin unme se kuch ab Olympics, Commonwealth games aur Asian games jaise events ke liye medal jeetne wali performance dikha rahe hai.

Partha Pratim Majumder, head coach SGTIDM (SAI GLENMARK TIDM PROGRAM) jo ki abhi Guwahati mein chal rahe 3rd  Khelo India Youth Games ke liye gaye hai unhone aasha karte huye kaha ki 2024 tak India bhi swimming ke global events mein medal jeetegi. FINA Certified coach ne kaha ki purane time ke compare mein India ki present swimming arena public domain ke development ke saath kaafi behtar hai, jo swimmers ko apne competitiors ke details ke bare mei puri information de deta hai.

“Abhi tak, hamare paas 7 B cut swimmers hai aane wale Olympics ke liye unme se 2 swimmers ki timing A cut ke kaafi close hai,” unhone kaha.(EastMojo)

Unhone SFI (Swimming Federation Of India) aur Private Organisations ki sponsorship ke liye gratitude express kiya.

“Development ka essence more organized coaching se hai,” Majumder ne EastMojo se kaha.

“Infrastructure main requirement nahi hai, haan ye mandatory hai par sahi region mein sahi professionals ka placement jyada important hai,” Majumder ne kaha.

India mein Swimming ke evolution ke saath mass ab yah samajh sakti hai ki resource ki scarcity ko lekar complain karne ke bajay available resources ko aur acche se use kiya jaa sakta hai. Agar US se compare kare toh waha par top coaches sirf 25 yards pool mei practice karte hai jo ki 25 meter se bhi chhota hota hai phir bhi wo wonders produce karte hai.

Unhone India ke kai swimmers ko mention karte huye kaha jaise ki Srihari Nataraj, Shivangi Sarma, Aastha Choudhury, Swadesh Mondal aur Mihir Amrel jaise players 2028 Olympics mein medak jeetne ki taiyari mei hai.

Khelo India Youth Games 2020 Ki News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »