India Ke Fastest Couple Bane Virdhawal Khade and Rutuja Khade

50m Freestyle Title Apne Naam Karne Wali Rujuta Khade, India Ki Sabse Fastest Women Swimmer Ke Roop Mein Saamne Aai.

Is Event Ke Dauraan Virdhawal Khade Kaafi Stressed Lag Rahe The, Aisa Lag Raha Tha Maano Ki Unka Dil Bahot Tezi Se Dhadak Raha Ho. Virdhawal Ko Aisi Halat Mein Isse Pahle Nahi Dekha Gaya.

Halaki, Mai Aapko Yah Batana Chhahta Hun Ki Is Event Mein Country Ke Sabse Fastest Swimmer, Virdhawal Khade Ne Bhi Participate Nahi Kiya Tha, Yah Unki Wife Rujuta Thi Jo Pool Mein Apni Performance Dikha Rhi Thi. Aur Apne Umda Performance Ki Wajah Se Hi Monday Sham Ko Bhopal Mein Chal Rahe 73rd Glenmark National Senior Championship Mein Unhone 50m Freestyle Title 26.67 Sec Me Karte Hue Apne Naam Kiya.

Yahi Karnama Ek Din Pahle Virdhawal Khade Ne Bhi Kiya Tha Aur Aaj Rujuta Ne Bhi Yahi Chiz Phir Se Dohraai. Aur Aisa Karte Hi Ye Dono Log Country Ke Sabse Fastest Swimming Couple Bann Chuke Hai.

“Mujhe Lagta Hai Ki Ye Race Mere Liye One Of The Most Stressful Races Mein Se Ek Thi,Mera Dil Kaafi Tezi Se Dhadak Raha Tha Jab Rujuta Race Kar Rahi Thi,” The Hindu Se Baat Karte Huye Virdhawal Ne Kaha.

Rutuja 4 Saal Baad Aise Kisi Bade Event Mein Return Aai Hai.

“ Voh Isse Pahle 2015 Mein Nationals Khel Chuki Hai Par 2017 Mei Humlog Ki Shaadi Ke Baad Yah Pahli Baar Hai Jab Voh Kisi National Competition Mein Compete Kar Rahi Hai,” Khade Ne Kaha Jo Rujuta Se 2015 Mein Mumbai Ke Khar Gymkhana Mein Mile The.

“Frankly Bolu Toh, Voh Swimming Karna Nahi Chhahti Thi, Voh Mentally Prepare Nhi Thi Swimming Ke Liye, Lekin Is Saal Ki Starting Mein,Unhone Sirf Fitness Ke Purpose Se Swimming Start Ki Aur Phir Unhe Mahsus Hua Ki Voh Accha Kar Rahi Hai, Isliye Unhone Apne Coach Nihar Ke Saath Milkar Kaafi Hard Training Start Ki Aur Mujhe Lagta Hai Ki Isme Unke Coach Ne Bhi Unka Bharpur Saath Diya Aur Unhe Khub Encourage Kiya,” Virdhawal Ne Kaha.

Source: The Hindu

Other News:

Glenmark 73nd Senior National Aquatic Championships 2019   

News, Tips And Workout Ke Liye Aap Swimswam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi Swimswam Hindi Ko Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »