Hanshika Jinhone Tide Ke Against Swimming Krne Ki Habit Bnayi

Aise Field Mei Compete Krna Jisme Olympians Aur Multiple National And International Medallists Ho, Hanshika Ramachandra Ne Apna Naam Bold Letters Mei Darz Karaya Recently Hi Gujarat Mei Huye 36th National Games Mei.

14-Year-Old Karnataka Ki In Swimmer Ne six Gold Medals Aur Ek Bronze Medals Ke Saath 4 Mei New Meet Records Set Kar Ke Sabhi Ko Apna Talent Notice Karwaya.

Hanshika Ki Sabse Badi Achievement Toh Ye Rhi Ki Unhe Best Female Athlete Title Bhi Mila Pool Mei, 23 Years Baad Karnataka Ko Unki Wajah Se Ye Mauka Mila. Nisha Millet Last Winner Thi State Se Jinhone 1999 Mei Imphal Mei Huye National Games Mei Ye Title Achieve Kiya Tha.

“Ye Mera First National Games Tha Aur In Sab Achievements Ne Ise Aur Special Bana Diya,” Hanshika Ne Expressed Kiya. “Filhaal Toh Mai Overjoyed Hun Aur Aware Bhi Q Ki Isse Bhi Bade Goals Hai Jo Chase Krne Hai. Abhi Bhi Bahot Kaam Krna Baaki Hai.” Unhone Add Krte Huye Kaha.

Jab Attention Dusre Competitors Par Tha, Unke Coach Madhukumar Ne Kaha Ki Hanshika Ne Apni Age Ke Opposite Sense Of Calm And Maturity Dikhai. Balki Unhone Life Mei Aane Wale Tough Lessons Se Kaafi Kuch Sikha Ki Limelight Ko Hog Kaise Krte Hai.

Apne Father Ki Death Ke Baad Hanshika Ne Apne Emotions Ko Positive Manner Mei Channel Kiya, Unki Mother Latha MB Ne Kaha.

“Mere Husband Ne Jo Property Banai Thi Mjhe Uske Kuch Parts  Hanshika Ke Swimming Dreams Ko Support Krne Ke Liye Bechne Pade. But Ye Sab Kuch Possible Hi Nhi Hota Bina Dolphin Aquatic Ke Nihar (Ameen) Sir, Madhu Sir Aur Unki Entire Team Ke Bina,” Latha Ne Add Krte Huye Kaha. Jinhe Hope Hai Ki Unke Daughter Ki Achievements Sponsors Ko Attract Karengi.

Grade Nine Ki Student Jinhone Is Year Opan Schooling Mei Shift Kr Liya Hai, Unhe Unki Mother Ne 4 Years Old Se Hi Swimming Classes Mei Enrol Kara Diya Tha Q Ki Wo Hanshika Ke Early Age Weight Gain Se Pareshan Thi.

Nagarbhavi Ke KLE Swimming Pool Mei Six Years Ki Training Ke Baad, Hanshika Ne Dolphin Mei Move Kar Liya Aur Ab Coach Madhukumar Ke Under Mei Training Kar Rhi H Aur Head Coach Ameen Ki Guidance Mei.

“Unhone Hamari Sabhi Expectations Ko Surpassed Kiya Hai Apne Dominating Show Ki Help Se. Best Athlete Ka Title Cake Par Icing Jaisa Hai,” Madhu Ne Kaha.

Like SwimSwam Hindi on Facebook

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »