Covid-19 Ke Chalte Tokyo Olympics Ke Plans Mei Nahi Hoha Koi Change

Jaise Ki Hum Sab Jaante Hai Is Samay Agar Sabse Jyada Khatra Kisi Cheez Se Hai Toh Wo Hai CORONA Virus Se. Puri Duniya Is Virus Se Pareshaan Ho Rahi Hai Aur Naa Jaane Iski Wajah Se Ab Tak Kitne Logo Ki Jaan Jaa Chuki Hai. Pure World Ki Economy Bhi Isse Kaafi Effect Hui Hai. Aur Jaise Jaise Covid-19 Ke Cases Continuously Rise Ho Rahe Hai Globally Aur Isi Ke Chalte Huye World Health Organization (Who) Ne Is Eek Pandemic (Mahamaari) Declare Kar Diya Hai, Iske Bawjood Bhi 2020 Tokyo Olympics Ke Organizers Ne Kaha Hai Games Plan Ke Hisaab Se Hi Chalenge.

Yosohiro Mori, Tokyo Olympic Ke Chief Ne Kaha Ki Organizers Summer Olympics Ke Liye Plan Mei Kiye Gaye Changes Ko Consider Nahi Kar Rahe Hai.Aur Ye Wall Street Journal Ko Diye Gaye Haruyuki Takahashi Ke Comments Ke Against Jaata Dikhta Hai. Takahashi Ne Wsj Ko Kaha Tha Ki Agar CORONAvirus Ki Wajah Se Olympics Nahi Ho Paate Hai Toh Toh Most Realistic Option Yahi Rahega Ki Ise 1-2 Saal Ke Liye Delay Kar De.

Is Beech, Senior Ioc Figure Olympia Mei Kal Olympic Torch Jalate Huye Dekhne Ke Liye Honge Kyu Ki Yah 24 July Se Start Hone Wale Opening Ceremony Ke Liye Tokyo Mei Utarne Se Pahle Greece Aur Japan Ke Madhyam Se Daura Karna Shuru Karta Hai.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »