Commonwealth Games 2022 Ke Liye Indian Swimming Team – Indian Swimming News

Birmingham Mei Hone Wale Commonwealth Games 2022 Mei Ye Un Athletes Ki Profile Hai Jo Ki India Ko Swimming Me Represent Karenge.

Indian Swimming Squad CWG 2022

Swimmer Events
Srihari Nataraj 50m, 100m, 200m backstroke
Sajan Prakash 200m, 100m, 50m, butterfly
Kushagara Rawat 1500m, 200m, 400m freestyle
Advait Page 1500m freestyle

Sajan Prakash: Prakash Jo Ki Veteran Swimmer Hai Wo Is Baar 2022 Commonwealth Games Ke 50m, 100m, & 200m Butterfly Events Mei Maiden Podium Finish Krne Ka Sochenge.

Sajan Hi First Indian Swimmer Bane The Jinhone 1:56.38 Ki Timing Ke Sath FINA ‘A’ Olympic Qualification Time Breach Kiya Tha. Unhone 2021 Sette Colli Trophy Ke 200m Butterfly Event Mei National Record Bhi Bnaya Tha. Recently, Prakash Ne 19th FINA World Championships Mei Bhi Compete Kiya Tha Jo Ki Danish Open Mei Unki Shoulder Injury Ho Gyi Thi Uske Baad Ye First Competition Tha Jisme Unhone 200m Butterfly Mei Gold Jeeta Tha. Currently Wo  Apni Third CWG Appearance Ke Liye Sierra Nevada Mei High-Altitude Training Kr Rhe Hai.

SRIHARI NATARAJ:– Nataraj Jo Ki 21-Years-Old Swimmer Hai Ye Gold Coast 2018 Ke Baad Apne Second Commonwealth Games Mei Compete Krenge. 19th FINA World Championships Ko Miss Krne Ke Baad, Inhone Singapore National Swimming Championships 2022 Mei Participate Kiya Tha, Jaha Pr Inhone 50m Aur 100m Backstroke Events Mei 25.69 Aur 55.32 Ki Timing K Sath Gold Medal Jeeta Tha Respectively. Ye 50m,100m, Aur 200m Backstroke Events Mei Part Lenge.

Kushagra Rawat:- In 22-Year-Old Swimmer Ne Recently Hi 19th FINA World Championships Mei Compete Kiya Tha Aur Chahenge Ki CWG Mei Apne Debut Ko Bhi Yaadgaar Banaye. Rawat Ne 400m Freestyle Mei National Record Set Kiya Aur Australia Mei Hui 2020 NSW State Championships Mei 3:52.75 Ka Timing Bhi Clocked Kiya. Last Year Unhone Senior National Aquatic Championships Ke 400m, 800m, Aur 1500m Freestyle Events Mei 3 Meet Records Break Kiya Tha.

Advait Page:- Madhya Pradesh Ke Ye Swimmer Tb Limelight Mei Aaye The Jb Inhone 2019 Singapore National Championships Mei Rehan Poncha Ke 10 Year Old Record Ko Men’s 400m Individual Medlry Mei Break Kiya Tha Aur 800m Freestyle Mei National Record Bhi Break Kiya Tha. 2 Saal Baad Unhone Apne Record Ko Sirf Better Hi Nhi Kiya But 1500m Freestyle Event Mei Ek Aur National Record Set Kr Diya. CWG Mei India Ki Taraf Se Debut Krne Wale Page 1500m Freestyle Event Mei Participate Krenge.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »