Beginners Ke Liye Freestyle Swimming Sikhne Ka First Step

Freestyle Swimming Charo Stroke Me Sbse Tej stroke Mani Jati Hai Aur Sbse Pehle Koi Bhi Swimmer Yhi Stroke Sikhta Hai Freestyle Swimming Ko Ek Aur Name Se Bhi Jana Jata Hai Front Crawl. Freestyle Me Dono Arms Ka Bari Bari Se Use Hota Hai Isme Swimmer Saas Lene Ke Liye Saamne Na Dekh Kr Bagal Se Saas Leta Hai Jo Ki Speed Bnay Rakhne Ke Liye Bhi Zaroori Hai Or Streamline Ke Liye Bhi.

Arms Ko Kaise Chalaye

Freestyle Swim Kerne Se Pehle Yeh Zaroori Hai Ki Apke Hands Free Ho Aur Hand Ki Sari Ungliya Ek Sath Ho, Apne Arms Ko Sar Se Lagbhag  8-9 Inch Upar Se Aage Ki Or Pani Me Dale Aur Sath He Sath Ye Jaroor Dhyan Rakhe Ki Hatheli Water Me Entry Lete Wakt 45 Degree Ka angle Bnay Hand Ki Entry Karte Wakt Ye Dhyan Rakhe Ki Arms Entry Ke Baad Pura Extend Hona Chahiye.

Ek Baar Pani Me Apne Apna Hath Shi Se Enter Kra Liya To Uske Bad Apni Htheli Ko Neeche Ki Or Press Kijye Aur Htheli Ki Ungliyo Ko Thoda Relax Chodiye Isse Catch Acha Rhega.

Agar Apko Apne Hath Ki Technique Pr Aur Kaam Kerna Use Aur Achha Bnana Hai To Ap Hand Paddles Ka Bhi Use Kr Sekte Hai.

Niche Diye Gaye Points Ko Bhi Jarur Consider Kare:

  1. Pani Pr Hath Patke Nhi Balki Gliding Ka Use Sikhe.
  2. Pull Jitni Takat Se Kiya Jayga Body Utni Achhi Glide Hogi.
  3. Pulling Ke Bad Hath Ko thighs Ke Beech ki Doori se Bahar Nikale.

Kicking Aur Rotating

 Kicking Freestyle Swimming Me Sabse Zaroori Hoti Hai. Kick Se Zyada Benefits Lene Ke Liye Apko Apni Kamar Ko Pani Ki Setah Ke Bilkul Pass Rakhna Hoga Aur Kick Ko Lgatar Kerte Rehna Hoga Sabse Zaroori Baat Ki Kick Kerte Waqt Apke Pair Jitna Ho Ske Pani Ke Niche He Up Down Motion Kerte Rhe(3 inches down to water surface).

  1. Kick Kabhi Apne Ghutno Ko Mod Ke Nhi Balki Thighs Ki Shi Movement Se Ki Jati Hai.
  2. Ghutne Mod Ke Kick Kerne Se Aap Apne Liye Rukawat Paida Kerenge Jise Resistance Kehte Hai Aur Ye Aapki Speed Ko Rokne Ka Kaam Krta hai.
  3. Ap Ghutno Ko Bahut Km Mod Sekte Hai Jyada Modne Se Apke Speed Me Effect Padega.

2 beet Aur 6 Beet Wali Kick

Lambi Duri Wale Swimmers Ko  2 Beat Kick Kerni Cahiye Kyuki Isme Km Takat Jaya Hoti Hai Aur Body Ko Recover Kerne Ka Mauka Mil Jata Hai Jabki 6 Beat Kick Fast Swimmers Kerte Hai Kyuki Saaf Jahir Hai Ki Ye 3X Jyada Fast Hai 3 Beat Wali Kick Recovery Ke Liye Use Hoti Hai.

Kick Krte Waqt Is Baat Ka Dhyan Rakhna Zaroori Hai Ki Apke Panje Pointed Ho Werna Isse Bhi Pani Merukawat Aati Hai Isko Achhe Se Sikhne Ke Liye Ap Medium Flipper Ka Bhi Use Kr Sekte Hai.

Swimming Me Choti Se Choti Chij Apne Dhyan Nhi Di To Whi Galti Apko 1st  Se 8th No Pr La Sekti Hai.     

To Guys Aj Ke Liye Bs Itna Hi, Apko Mera Blog Pasand Aaya Hoga Aur Agar Pasand Aaya Hai To Please Comment Aur Share  Kerna Na Bhule. And Please SwimSwam Hindi Ko Support Kriye Taki Mujhe Bhi Khusi Ho. Thanks

Join Us:-

 

 

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »