Para Swimmer Vaishnavi Jagtap Ne Rough Waters Me Tairkar Gold Medal Jeeta

Congenital 75% disability ke baawjood Pimpri-Pune ki para swimmer Vaishnavi Jagtap (22) ne various national swimming competitions me me 33 se jada gold medals jeete hain. Haal hi mein unhone national swimming competitions me 50m freestyle, 50m backstroke and 100m freestyle me top place haasil kiya aur October me Goa me hone wali national para swimming championships me participate karengi.

24th national para swimming championships 19-22 October ko Goa ke Panjim me held ki jaayegi, aur isko Swimming Federation of India dwara oraganise kiya jayega. Para swimming competitions physical disabilities wale athletes ke liye khuli hai, jinme amputation or limb loss, visual impairment, spinal cord injury or wheelchair ka use aur anya shaamil hain.

Goa me hone wali championships se pahle Vaishnavi me Indian Express se kaha ki unki family unki sabse badi takat hai. Vaishnavi ne Indian Express se kaha, “Mere parents (Uma and Vinod) mera sabse bada sahara hain. Mujhe abhi bhi Commonwealth swimming event yaad hai. Mujhe block se dive lagana tha. Mujhe iski aadat nahi thi aur ghabra gayi thi. Ye meri Maa hi thi jinhone mujhe encourage kiya aur mujhe koshish karne ke liye kaha. Maine Aisa Kiya aur S-8 category me 50m freestyle me 6th place haasil kiya.”

Vaishnavi ne Dubai me Asian Youth Para Games 2017, Australia me 2018 me aayojit XXI Commonwealth Games aur China me Asian Para Games 2023 sahit international events me India ko represent kiya hai. Last year unhone business administration me Bachelor’s degree bhi complete ki aur sport ke field me unki commendable persistence ke karan unhe jaldi hi Shiv Chhatrapati Rajya Krida Puraskar se sammanit kiya gaya.

Vaishnavi ko legs me sensation ki kami aur bladder issues ke karan muscle weakness se joojhna pada hai, jo spina bifida ke severe form se related hai. 5 months ki age me ak surgery fail rahi. Choonki Spina bifida me spinal nerves shaamil hoti hain, isliye bachchon ko neurological, orthopedic, urological aur other special needs hoti hain. 3.5 saal ki age me uski ak aur surgery ki gayi aur use hydrotherapy ki salah di gayi.

Surgical repair ke baad Vaishnavi ko callipers lagaye gaye aur uski Maa har din uske sath swimming pool jaati thi. Starting me Vaishnavi ko private school me admission pana mushkil tha kyunki uska bladder pe control nahi tha. Halanki, last kuchh years me, parents ke constant encouragement and support ke saath-saath odds ko door karne ki uski determination ne use rang dikhaya.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »