37th National Games 2023 Swimming – Sajan, Srihari, Nina Ne Bnaye New Records

37TH NATIONAL GAMES – SWIMMING

  • October 29 to November 4
  • Aquatic Centre Campal, Goa
  • LCM (50m)
  • Event List

Last Edition Me 25 Se Bhi Jyada Records Bane The and Is baar day 1 par hi 6 event me se 5 event me new records dekhne ko mila.

1st DAY 200 MT FREE STYLE MEN

200 MT FREE STYLE WOMEN

100 MT BUTTERFLY STROKE MEN

100 MT BUTTERFLY STROKE WOMEN

4 X 100 MT FREE STYLE RELAY MEN

4 X 100 MT FREE STYLE RELAY WOMEN

200 MT FREESTYLE MEN

200m Freestyle Me Aajtak Koi Bhi Indian Swimmer 1:50 Ke Mark Ko Bhi Break Kar Paya Tha Lekin Hal Hi Me Hue Asian Games Me Srihari Me 4*100 Freestyle Relay Me Apna 100m Free 49 Sec Me Complete Kiya Tha Tabhi Kahi Na Kahi Ye Lagne Lga Tha Ki Ham Kuch Hi Samay Me Freestyle Ke Individual Events Me Kuch Behtar Times Dekh Skte Hai And Hua Bhi Waisa Hi. Srihari Ne 37th National Games Ke Day 1 Par Hi Apne 200m Freestyle Event Me 1:49.09 Ka Time Nikal Kar Record Ko Break Kiya Jo Ki Iske Phle Kisi Bhi Indian Swimmer Ne Nhi Kiya Tha. Srihari Waise To Backstroke Events Me India Me Top Swimmer Hai Lekin Ab Srihari Ko Freestyle Ke Kuch Events Me Perform Karte Hue Dekhenge.

100 MT BUTTERFLY STROKE MEN

Butterfly Me Sajan Prakash Hmesa Se Top Par Rahe Hai And Is Baar Bhi Waisa Hi Hua, Sajan Prakash 200m Freestyle Me To Gold Medal Nhi Jeet Sake Lekin Unhone Apne Main Event Ko Hath Se Nhi Jane Diya Or 200m Freestyle Ke Final Ke Kuch Time Baad Hi 100m Butterfly Me Na Sirf Gold Medal Apne Name Kiya Balki 53.79 Record Time Ke Sath Is Event Me Apni Jeet Darj Ki. Back To Back Event Hone Ke Bawjuud Sajan Ne Record Break Kiya Jo Ki Unki Ek Strong Endurance And Power Ko Show Karta Hai.

100 MT BUTTERFLY STROKE WOMEN

Ye Ek Aisa Event Hai Jisme Sabki Najar Astha Choudhury Par Thi Kyuki Morning Heats Me Astha 200m Freestyle Me Apni Jagah Finals Ke Liye Nahi Bana Saki Lekin 100m Butterfly Me Sabse Fast Time Ke Sath Unhone Apni Jagah Final Me Pakki Ki. Pichla Record Bhi Astha Ke Name Hi Tha Jo Ki 1:03.37 Sec Ka Tha And Finals Me Ye Record Tuta Bhi Lekin Ye Record Astha Ne Nhi Balki Nina Venkatesh Ne 1:02.22 Time Ke Sath Toda And Astha Jo Ki Previous Record Holder Thi Unko 2nd Place Ke Sath Hi Apni Race Finish Karni Padi.

37th National Games 2023 – Swimming Results

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »