3 Life Lessons Jo Swimming Hmko Sikhati Hai

Kya Aap Jante Hai Ki Swimming Apko Sirf Fit Hi Nahi Rakhti Balki Apko Kuch Ase Tools/Lesson Deti Hai Jo Apki Life Me Aage Success Hasil Karne Me Bahut Madad Karti Hai.

Mai Koi Timemangement Ki Baat Nahi Kar Rha Hu Aur Na Hi Sportsmanship Ki, Jabki Ye Dono Chiz Sports Me To Kaafi Important Hai.

Ye Jo Lesson Hai Ye Kuch Asa Nahi Hai Ki Jo Aap Apne Resume Me Apply Kare Yr Chiz Aapko Kisi Classroom Me Nahi Sikhayi Jayegi. Agar Aap Apne Swimming Career Me Attention Dete Hai To Aap Khud In Sabhi Lessons Ko Paa Lenge.

To Chaliye Baat Krte Hai Unn 5 Swim Lesson Ki Jo Ham Swimming Se Sikhte Hai Yaa Sikh Sakte Hai:-

Bade Improvement Ke Liye Patience Jaruri Hai-

Patience Ek Aise Chiz Hai Jo Decide Kar Deti Hai Ki Aap Apne Life Me Kitne Success Ho Sakte Hai. Jaise Ki Agar Mai Apni Baat Kru To Agar Maine Koi Chiz Decide Kar Li Ki Mujhe Ye Karne Hai To Mujhe Uss Chiz Ko Hasil Karne Ke Liye Sochna Nahi Pdega Or Mai Usi Wakt Se Uspar Kaam Krna Shuru Kar Dunga Jabki Maine Kuch Ko Dekha Hai Ki Unki Soch Me To Kuch Bada Hi Rhta Hai Lekin Jab Wo Ek Do Baar Try Karte Hai Or Wo Chiz Unko Hasil Nahi Ho Paati Hai To Wo Frustrate Ho Jate Hai Or Fir Wahi Frustration Unko Ek Alag Hi Zone Me Lekar Chali Jati Hai Jise Ham Depression Ke Name Se Jante Hai.

Isliye Mai Ek Line Me Yahi Khunga Ki “Long Term Progress Requires Patience”

Swim Karne Se Phle Aap Ko Paddling Krni Sikhni Hoti Hai:-

Unn Sabhi Bade Goals Jo Aapne Soche Hai/Jo Aapne Tay Kiye Hai Unko Pane Ke Liye Jaruri Yahi Hai Ki Aap Present Time Me Jo Kaam Kar Rhe Hai Kya Usme Aapne Success Hasil Kar  Li Hai ? Kyuki Swimming Me Agar Mai Abhi Tak Ke Sabse Great Swimmer Ki Baat Kru To Unhone Direct Swim Karna Nahi Sikh Liya Tha Balki Phle Apne Darr Par Success Paya Fir Apne Body Ko Water Me Adjust Krne Par Success Paya Isi Trah Floting, Paddling In Sab Par Success Pakar Apne Aap Ko Uss Kabil Bnaya Jaha Se Wo Apne Goal Tak Pahuchne Ke Raste Ko Bilkul Sidha Kar  Chuke The . Or Patience Ke Sath Usi Raste Par Chal Kar Hi Wo Aaj Pure World Ka Greatest Swimmer Hai.(Michael Pheleps)

Isliye Shuruwat Hmesa Ground Level Par Success Pane Se Hi Kri Jati Hai

Hame Hmesa Victory Nahi Milti Hai:-

Isko Janne Ka Sabse Accha Tarika Hai Ki Aap Har Swim Meet Me Jaye Or Waha Ye Dekhe Ki Kya Jo Top Level Ke Swimmers Hai Wo Apni Race Harne Ke Baad Kya Reaction Krte Hai Or Usko Kuhd Ke Reaction Se Compare Kriye.

Kya Ve Swimmers Harne Ke Baat Sharminda Ho Jate Hai Ya Unko Itna Bura Lagta Hai Ki Wo Apni Baaki Ki Race Ke Liye Warm-Up Par Nahi Aate ? Ya Sabse Alag Ho Kar Baith Jate Hai Or Kisi Se Baat Nahi Karte ?

Jaha Tak Maine Observe Kiya Hai Maine Yahi Paya Hai Ki Ve Swimmers Harne Ke Baad Sirf Ek Chiz Dekhte Hai Ki Unhone Kis Part Me Galti Kar Di Or Uske Alawa Bilkul Negative Nahi Sochte Or Aane Wali Agli Race Par Pura Focus Daal Dete Hai Or Yakin Maniye Unki Agli Race Hmesa Acchi Hi Jati Hai.

Isliye :- Har-Jeet Par Dhyan Na Dekar Weak Point Ko Dekh Kar Uspr Work Krna Swimming Hme Sikhati Hai

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »