Vritti Ka Target India Ko Olympics Me Represent Karna – Swimming News India

17-year-old Vritti Agarwal ne Khelo India Youth Games 2024 mein sensational performance exhibit ki hai 5 medals jeet kar. Vritti is event ki top performances mein rahi hai aur unhone women’s 200m butterfly and freestyle events 200m, 800m, 400m, and 1500m mein top spots bhi claimed kiya hai.

Unhone pahle 200m and 800m freestyle events mein gold medal aur phir 4:32.77 ki timing ke sath 400m mein gold medal bhi jeeta. Baad mein unhone 2 aur gold medal add kar ke list mein total five medals add kar liya.

Unhone 1500m freestyle event mein 17:59:51 ki timing ke sath sabko piche chhoda aur gold medal jeeta. Karnataka ki N Aditi Mulay ne second par aur Tumu Sri Charani ne third position par finished kiya.

Vritti, jo ki last year apne state se first swimmer bani thi jinhe Asian Games mein represent karne ke liye select kiya gaya tha, unhone apna experience share kiya hai is event mein play karne ka.

“Frankly, kuch familiar names nahi present the in Youth Games mein q ki wo log Asian meet mein selwc kiye gaye the. But, ye ek acha experience tha sabke sath swim kar ke,” were not present in these Youth Games as they were selected for the Asian meet. But, anyhow, it was a good experience to swim with them,” Vritti ne kaha.

Khelo India Youth Games mein sensational performance exhibit karne ke baad bhi, Vritti samajhti hai ki abhi bhi improvement ke liye bahot jagah hai. Sirf 17 years ki age mein hi, unhone apna aim country ke liye Olympic medal jeetna ka banaya hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »