Swimmers Ke Pool Me Wapas Aane Ke Liye Tyar Kari Gayi New Guidelines

NIE Par Nikali Report Me Btaya Gaya Ki Swimmers Ko Ab Apne Costume Ko Pool Par Pahanna Padega Aur Shower Lene Ke Liye Ghar Wapas Aana Padega Instead Of Using The Locker Room. Unhe Pool Par Jaldi Se Jaldi Pahochna Padega Aur Pool Mei Enter Karne Se Pahle Soap/Sanitizer Se Hand Wash Karna Padega Aur Practice Ke Time 6 Feet Ka Distance Bana Kar Rakhna Padega. Water Mei Chlorine Ke Content Ko Badhaya Jayega. Equipment Sharing, Handshakes Or High-Fives Karna Mana Hoga. Ye Kuch Guidelines Hai Jo Swimmers Ko Follow Karna Hoga Jab Wo Pool Mei Return Aayenge.

Sports Authority Of India (SAI) Ne Ek Committee Form Ki Hai Jo Ki SAI Ki Executive Director (Teams) Radhika Shreeman Head Karengi Is Committee Ko Isliye Form Kiya Gaya Hai Taaki Wo SAI Facilities Mei Swimming Federation Of India Ke Consultation Mein Training Ke Resumption Ke Liye Standard Operating Procedures (SOPS) Frame Kar Sake. Stakeholders Ki Meeting Mei SFI Ne USA Ka Swimming’s Facility Use Plan Forward Kiya (Kuch Points Mention Kiya Gaya Hai Upar) Local Conditions Aur Restrictions Ko Dhyaan Mei Rakh Kar Isko Modify Kiya Jaa Sake.

“Unlike Other Sports, Swimming Water Mei Ki Jaati Hai Jo Ki Ek Alag Medium Hai But Agar Pool Ki Baat Kare Across The World Toh Wo Sabhi More Or Less Same Hi The Hai. Federation Ne Guidelines Of USA Swimming SAI Ko Submit Kar Di Hai Consideration Ke Liye,” SFI Ke Executive Director Virendra Nanavati Ne Kaha.

“Guidelines Bahot Hi Intense Study Ke Baad Prepare Ki Gai Hai. However, Hume Ise Modify Karna Hoga Us Particular Condition/Venue Ko Dhyaan Mei Rakh Kar.”

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »