Russian Athletes Neutral Flags Ke Sath Kare Compete – FINA

FINA, jo ki aquatic sports ki international governing body hai, unhone Russian aquatic athletes ko sanction krne ke liye aur bhi steps liye hai, but abhi bhi international competitions se full ban nhi lagaya hai.

Tuesday ko FINA ne announce kiya ki, FINA ke dwara awarded order jo ki Russian president Vladmir Putin ko diya gaya tha use ‘withdraw’ kr liya gya hai. Iska reason btaya jaa rha hai Russia aur Ukraine ke beech chal rhi war ko. Putin ko ye order 2014 mei diya gya tha.

Us time pr, FINA President Julio Magilone ne Putin ke bare mei ye kaha tha:

“Undoubtedly Russia ek important aur major powers mei se ek hai world sport mei. Ye achievements Russian Aquatics authorities ki support se hi possible hui hai, jiske liye inko thanks. Is area mei President Putin ke personally involvement ki wjh se is area mei nations ke beech fraternity strengthen krne mei, healthier society promote krne ke liye Russia mei rah rhe youth ki lifestyle aur education ko improve krne mei bahot contribute kiya hai.”

FINA recognize krta hai “ Russia mei huye major FINA events ke organisations ko Putin ke dwara diye gye important support ko.

Isliye hi FINA disciplines mei additional development ke sath-sath within Russian society aur worldwide mei Aqutics ko increased value provide kr rhe hai.”

Ye statements inextricably Putin ko directly link kr rhi thi aquatic industry se justify kr rhi thi country mei hone wale competitions ko remove krne ke liye. Ye removal ongoing Russia-Ukraine ke war ki wjh se hua.

FINA ne Russian aur Belarusian flags, anthems, aur symbols ko barred bhi kiya hai international competitions se, ye khte huye ki in countries ke athletes aur teams ko “sirf neutral athletes aur neutral teams ki trh hi accept krna chhaiye.”

Last week FINA ne sab nhi, kuch international aquatics events jo ki is year Russia mei host hone wale the unhe cancel kr diya hai. Competitions in diving and artistic swimming (synchronised swimming), ke sath-sath World Junior Swimming Championships ko Russia mei nhi host kiya jayega.

FINA ne All-Russia Swimming Federation ke head Vladimir Salnikov ko bhi sanction kiya hai, jo ki ek active member hai FINA Bureau ke.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »