Mangaluru- Yemmekere Mei Bann Raha Hai Olympic Level Ka Swimming Pool

Olympic Level Swimming Pool Ke Construction Par Chal Raha Kaam Acche Khaase Speed Se Aage Badh Raha Hai. Ummeed Hai Ki 2022 Ke End Tak Ye Pool Bann Kar Ready Ho Jaaye.

Ground Level Parking Purpose Ke Liye Use Kiya Jayega Wahi First Floor Par Swimming Pool Hoga. Ground Floor Ki Ceiling Hi Swimming Pool Ki Bottom Form Karegi. Pool Ke Side Walls Aur Jaha Par Audience Baithegi Uska Kaam Chal Raha Hai. Other Side Par Office,Gym,Etc Ye Sab Bhi Construct Kiya Jayega. Swimming Pool Ke Upar Roofing Bhi Rahegi.

Is Swimming Pool Ka Project 24.94 Crore Rupees Ka Hai. Ek Baar Ye City Mei Inaugurate Ho Gaya Toh National Aur International Level Swimming Competitions Hold Kiye Jayenge Yaha Par. Wahi Is City Ke Candidates Trained Bhi Kiye Jayenge Yaha Par Taaki Wo Competitions Aur International Events Mei Participate Kar Sake.

Is Complex Mei Three Swimming Pools Honge,Jinme Se Ek Competition Purpose Ke Liye Use Hoga. Baaki Dono Practice Ke Liye Use Kiye Jayenge Aur Ek Pool Childrens Ke Liye Bhi Hoga Chhota Sa. First-Aid Room, Anti-Dumping, Room Of Judges, Official’s Room, Physiotherapy, Record Room, Toilets, Shower Room, Filtration Plant, Pump Room, Etc Ye Sab Honge Complex Mei. Ground Floor Par 50+ Cars Aur Thwo Wheelers Park Kiye Jaa Sakenge.

Is Project Mei Yemmekere Ground Ka Bhi Development Included Hai, Jo Ki Pool Ke Adjacent Hi Hai. Ground Ko Levelling Karna Mud Aur Develop Karna Toh Planned Hi Hai.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »