KIYG 2019 Ke Doping Test Me Positive Sahil Pawar Ko 4 Saal Ka Doping Suspension

14 January 2019 Ko Khelo India Youth Games 2019 Me Doping Test Me Paye Gaye Positive Swimmer Sahil Pawar Ka Provisional Suspension 20 March 2019 Se Shuru Ho Gya Hai, Is Suspension Par India Ke Anti-Doping Disciplinary Panel Ne 4 Years Ki Ineligibility Period Ko Majuri Di Hai.

20 saal ke Sahil Pawar Ke Test Sample Me Methandienone (Class S.1.1.A Exogenous Anabolic Androgenis Steroids) Paya Gya Tha. Sahil Pawar ne Khelo India Youth Games me 50m Freestyle me participate kiya tha jisme unko positive paya gaya tha.

Kam Age Me Doping Ka Bahut Hi Serious Results Ho Sakte Hai, Doping Se Short-Term Gain Ke Liye Aapko Physically Harm Mil Sakta Hai. Ministry Ko Na Sirf Athletes Ko Balki Parents And Coaches Ko Bhi Iske Bare Me Educate Karna Chahiye.

Khelo India Programme Ek Aisa Programme Tyar Kiya Gya Hai Jisse India Me Sabhi Ko Apna Talent Dikhane Ke Mauka Mil Rha Hai, Isme Bahut Se Athletes Participate Karte Hai Sayad Isliye Monitoring Me Thodi Dikkate Aati Hai Lekin Ispr Ministry Aage Ke Plan Tyar Kar Rhi Hai Taki Aisi Chizo Ko Hone Se Roka Ja Sake.

1
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

1 Comment
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
pranjal
3 years ago

Bahut Sahi hua, Aise Logo Ko Sports me rhne ka koi adhikar nahi

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »