Apne Charo Traf Chupe Motivation Source Ko Khojiye

Khud Ko Apna Competitor Banaye

Jab Bhi Aapko Life Me Success Ka Pehla Step Mil Jaye. Tab Motivation Ke Liye Aap Khud Ko Apna Competitor Bna Le. Jab Aap Apne Aap Se Hi Aage Niklna Chahege To Baki Duniya Ko Piche Chod Dege. Khud Ko Competitor Banane Se Jo Motivation Milti Hai Uska Kisi Motivation Se Dur Dur Tak Koi Muqabla Nhi Hota.

Ek Aim Tak Pahuchne Ke Baad Dusra Aim Set Kre

Zindagi Me Jab Hume Humara Aim Mil Jata Hai To Kyi Baar Motivation Paane Ka Koi Jariya Nhi Rehta. Aise Time Par Hume New Aim Select Karna Chahiye. Aapke Andar Aur Achieve Karne Ki Bhookh Hamesha Rahni Chahiye, Aur Safalta Ko Celebrate Jarur Kare. Aise Waqt Par Doston Ki Khi Gyi Baat Aapke Dil Ko Motivation Se Bhar Deti Hai. Aap Khush Mehsoos Karte Hai Aur Fir Aur Mehnat Karne Ke Liye Taiyar Ho Jaate Hai.Jab Humare Pass Ek Nayi Manzil Hogi To Us Mukam Ko Hasil Karne Ke Liye Motivation Jhak Maar Ke Aapke Samne Khadi Hogi. To Life Me Humesha New Aim Banate Rahiye.

I Don’t Know Ki Aap Kon Hai Aur Aap Kha Se, Kaise Is Website Tak Pahuche. Par, Mujhe Pura Yakeen Hai Ki Aap Jis Cheez Ki Talash Me The Vo Aapko Jarur Mili Hogi. Agar Aapki Life Me Bhi Motivation Ki Kami Hai To Aap Yha Btaye Points Ko Dhyan Se Ek Baar Fir Padhein Aur Unhe Apni Life Me Implement Kare. Safalta Milegi, Bas Aapme Safal Hone Ki Jabardast Chahat Honi Chahiye. Kisi Bhi Tarah Ka Koi Doubt Ho Ya Koi Point Theek Se Samajh Na Aaya Ho To Niche ▼ Diye Huye Comment Box Ke Through Hume Apni Samasya Btaye, Vo Jarur Solve Ki Jayegi. Agar Aapko Pasand Aayi Ho To In Motivation Tips Ko Apne Friends Aur Family Ke Saath Social Media Par Jarur Share Karein.

Apno Ke Baare Me Soche

Aapki Zindagi Me Aise Bahut Se Log Honge Jinki Aap Kafi Chinta Karte Honge Like Aapki Family, Aapki Mom, Aapke Dost, Aapke Chahne Wale. Jab Bhi Aapko Aisa Lage Ki Aapki Life Me Aim Hai Par Motivation Nahi To Aap Jinse Pyar Karte Hai, Jinki Parvah Karte Hai Unke Baare Me Sochiye. Agar Aap Apne Liye Vo Kaam Nahi Karna Chahte To Apne Chahne Waalon Ke Liye Kijiye. Aapko Isse Bhut Parerna Millegi. Bas Ek Pal Ke Liye Sochiye Ki Aap Bhut Mehnat Karte Hai Aur Ek Din Apne Papa Ko Vo Gift Dete Hai Jo Vo Apni Puri Life Me Chahte To Jarur The Par Puri Nhi Kar Paaye, Jaise Apna Ghar Banana, Gaadi Lena, Rolex Pehan-Na, Foreign Trip Par Jaana. Just Imagine Jab Aap Papa Ko Khud Ki Li Huyi Gaadi Ki Chabi (Key) Dete Huye Kahenge – “Papa Aapki Nyi Gaadi Aayi Hai, Party Nhi Doge” Us Waqt Aapke Papa Ke Aankhon Me Jo Khushi Ke Aanshu Honge Uske Baare Me Sochiye, Aapme Itna Motivation Aayega Ki Aap Vo Pal Dekhne Ke Liye Kuch Bhi Karne Ke Liye Taiyar Ho Jayegnge, Mehnat Kitni Bhi Karni Pade Us Ek Pal Me Milne Waali Khushi Sab Bhula Degi Aapko.

Facebook Par Swimswamhindi Ko Jarur Like Kare.

Join Us:-

Google Plus:- Swimswam Hindi

Facebook:- Swimswam Hindi

Pintrest:- Swimswam Hindi

Flipboard:- Swimswam Hindi

Join Swimswam Hindi Whatsapp Daily Update Ke Liye:- +91 81879 96947 Ya Link Ki Madad Se Bhi Add Ho Skte Hai :- SwimSwam Hindi

Join Swimswam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 or Swimswam Hindi Whatsapp link:- https://chat.whatsapp.com/6rn76yu70mRDnPLMoH4hRI

Rules:-

  • sirf swimming related topic hi group me dale.
  • swimming related questions ya apni swimming video group me share kar skte hai
  • swimming ke alawa koi bhi message krne wale KO group se remove kar diya jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »