Antartica Me Swimming Kar Ke Chilean Swimmer Ne Racha Itihas

Waters ko protect karne ko le kar awareness raise krne ke liye Chilean ice-water swimmer, Barbara Hernandez ne Anttarctica ke frozen waters mein 2.5km tak swim karke first person bann gaye hai. Aisa kar ke unhone history bhi create kar di hai.

Hernandez, jo ki ek experienced open water swimmer hai aur unke paas kai saare previous world records bhi hai, jisme Guinness World Record bhi included hai southern Chile ke Drake Passage mein fastest ocean mile swim karne ka.

Antarctica 2020 group of leaders ka member hone ke sath sath wo is region mein greater marine protection ke liye kaam bhi kar rahi hai aur sath mein Antarctica aur Southern Ocean Coalition mein closely work kar rahi hai. Santiago, Chile mei hone wali meeting mei wo world leaders ko support krne ke liye bhi kah rhi hai taaki ocean aur continent ka conservation kiya jaa sake.

Simple swimsuit mein aur bina kisi protective clothing or grease ke, Barbara ne 2.2 Celcius temperature mein 45 minutes and 50 seconds tak swim kiya.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »