Wo janm se hi andhe hain, lekin unhone logon ko doobne se bachaya hai aur yhan tak paani me retrieve dead bodies ko bhi nikala hai. Samastipur district ke Patori block ke under Dumduma village ke native resident 35 years ke Bhullu Sahni se miliye, jinhone apne life me bahot se challenges faces karne ke baawjood apne humanitarian gestures ke karan “Jal Yodha (water warrior)” ke title ko earn Kiya hai.
Bhullu claim karte hain ki unhe apne blindness ko compassionate karne ke liye rare skills ka gift mila hai. Bravery and rare humanitarian gestures show karte huye, unhone last 5 years me 13 logon ko doobne se bachaya hai aur Ganga, Budhi Gandak, Bagmati and Kamla rivers se criss-crossed districts me apni life risk me daalkar lagbhag 14 ko water bodies se nikala hai.
Unhone bataya ki unke father Kailu Sahni ne unko swimming se introduce karaya tha. Time ke saath, unhone art of swimming me masters haasil kar li aur water bodies ke liye apne affinity ko life-saving skills me convert kar diya.
Bhullu jo “Mallah” (fisherman) community se aate hain, paani ke aas paas hi bade huye hain aur poore district me high demand par rahte hain. Unki unique swimming technique and fearless approach ne crisis ke time unhe trusted saviour bana diya hai.
Bhallu ne Tuesday ko kaha, “Kya hua agar main dekh nahi sakta, main rare cognitive skills se gifted hun jiska use main sankat me fanse logon ko bachane ke liye karta hun.”
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi