China Ke ‘Sun Yang’ 4 Saal Ke Doping Ban Ke Baad Pool Me Wapas

Chinese swimmer Sun Yang doping ke liye apne 4 saal ke ban ki expiry ke baad next week ak major domestic meet me pool me wapsi karenge, state media ne bataya.

China ke men’s swimming me first Olympic gold medalist Sun, Sunday ko Hefei me start hone wali National Summer Swimming Championships me apne home Zhejiang province ko represent karenge.

News agency Xinhua ke according, Zhejiang Provincial Swimming Sports Management Center ke director Wang Wei ne kaha ki 32 saal ke Sun 400m freestyle me compete karenge, jis event ko unhone 2012 London Olympic me jeeta tha.

Triple Olympic champion ko 2018 me dope test violation ke liye 4 years and 3 months ke liye competition se ban kar diya tha, jisme unhone aur unke friends ne blood samples wali vials ko smash kar diya tha.

Appeal par 8 saal se reduce kiya gaya ban 28 May ko expire ho gaya.

Suspend hone ke dauran, Sun Paris Olympics ke liye national trials se miss ho gaye, jahan China ki swimming team country ke doping record ko lekar intense scrutiny ke daayre me thi.

World Anti-Doping Agency (WADA) ne April me report ko confirm kiya ki Tokyo Games se pahle country ke 23 swimmers ka trimetazidine ke liye kiya gaya test positive aaya tha, jo WADA code ke tahat ban heart medication hai.

Sun ne 2014 me trimetazidine lene ki wajah se 3 mahine ka suspension serve kiya tha, unhone kaha ki ye medicine heart condition ke liye li gayi thi.

Xinhua ne kaha ki Hefei me hone wali competition competitive level and prestige ke mamle me China ki National Swimming Championships ke baad second place pe hai. Halanki Sun ko competition ke liye manjoori mil gayi hai lekin unke pass phir se China ke liye swimming karne ki possibilities bahot kam hai.

Country ke anti-doping rules ke according, ak saal se jada time tak doping suspension receive karne wale Chinese athletes ko national teams se ban kar diya jata hai.

China ne Paris me pool se 12 medals jeete, jinme 2 gold medals shaamil hain.

Pan Zhanle ne  world record time me men’s 100 freestyle event ka title jeeta, jabki China ne men’s 4×100 medley relay event ka gold medal jeeta, jisse iss event me United States’ ka unbeaten record end ho gaya.

Xinhua ne kaha ki Pan and provincial teammate Wang Shun, former Olympic champion jinhone Paris me men’s 200 individual medley me bronze medal jeeta tha, unhe Hefei meet ke liye Zhejiang ki team me shaamil nahi kiya gaya tha.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

In This Story

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »