Mental Toughness Se Hogi Jeet

Mental Toughness Ek Khas Reason Hai Jo Kisi Bhi Kam Ko Quit Na Kern Ke Liye Motivate Karta Hai, Aur Yeh Apko Shi Disha Me Badhte Rehne Ke Liye Kafi Help Kerta Hai. Apko Bahri Duniya Ki Tamam Chijo Se Door Rakh Kr Apko Focus Kerne Me Kafi Help Kerta Hai. Yahi Vo Khas Chij Hoti Hai Jo Swimmers Ko Kisi Bhi Hard Set Ke Last Tak Energy Bnaye Rakhne  Me Help Karta Hai. Kyuki Agar Swimmer Ke Man Me Ye Rahega Ki Usko Wo Hard Set Ko Achhe Se Pura Kerna Hai To Wo Swimmer Uss Set Ko Badi Aasani Se Kar Le Jayga, Isliye Hum Sabhi Ko Apne Swimmers Ko Mind Se Bhi Powerful Banana Cahiye Week Me Ek Din Unko Ek Class Motivation Ki Deni Cahiye Jo Unko Apne Target Pr Kendrit Rehne Me Help Keregi  Aur Kafi Achhe Results Degi.

Har Koi Is Type Ki Mental Toughness Haasil Bhi Nhi Kr Sekta Iske Liye Kafi Practice Kerna Padta Hai Aur Jitne Bhi Aaj Tak Mehan Swimmers Hue Hai, We Sab Swimming Ke Sath Apne Mind Ko Bhi Us Level Ki Training Dete Hai Jisse Vo Kabhi DEMOTIVATE  Na Ho Jo Log Jo Ise Haasil Kr Lenge Vo Soch Bhi Nhi Sekte Ki Vo Apne Swimming Ko Kis Laval Tak Le Ja Sekte Hai.

Start Kerna Humesha Sabse Hard Point Hota Hai:-

Khaskar Tab Jb Mental Toughness Ki Ho Tb To Ye Aur Hard Ho Jati Hai, Apne Dekha Hoga Jo Log Mental Roop Se Powerful Hote Hai Unhe Bahut Kam Motivate Kerna Padta Hai, Aisa Is Liye Kyuki Vo Pehle Se He Motivate Rehte Hai Niche Mai Apko Kuch Khas Tips Dene Ja  Rha Hu Ek Better Start Ke Liye Aur Ek Mental Tough Swimmer Banne Ke Liye.

Niche Kuch Tarike Diye Gye Hai Jo Mantel Power Ko Badhane Me Apko Ya Apke Swimmers Ko Kafi Help Keregi

  • Kuch Kerne Se Pehle Ek Target Bna Lena
  • Negative Thinking Ko Door Rakhna
  • Humesha Ek Competitor Jaise Rehna
  • Humesa Apne Target Pr Focus  Rakhna    

Apne Mind Ki Negative Bato Ko Sunna Band Kerna Hoga:-

Shi Mayne Me Agar Hum Swimmers Ko Janne Lge To Hum Dekhenge Ki Kafi Swimmers Ek Time Tk Kafi Achhi Practice Kerta Hai Aur Compaction Ke Pehle Kafi Achhe Times Kerta Hai Lekin Race Wale Din Ekdm Se Performance Down Pad Jati Hai Aisa Is Liye Hota Hai Kyuki Vo Khud Se Jyada Baki Swimmers Ke Bare Me Sochne Lagta Hai Aur Khud Ko Demotivate Kr Leta Hai Aur Ek Bar Swimmer Ke Mind Ne Hope Chodi To Uski Sari Practice Whi Finish Ho Jati Hai Aur Aisa Maine Kafi Swimmers Ke Sath Hote Hue Dekha Hai Isliye Jaroori Hai Ki Ap Apne  Swimmers Ko In Sb Chijo  Se Door Rakhe Ya Agar Ap Khud Swimmer Hai To Khud Ko In Sb Chijo Se Door Rakhe.

  Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »