73rd Senior National Swimming Championship Ke Liye Tyar Swimmers

Bhopal 31 August Se 73rd National Swimming Championship Ki Mezbaani Karega
Bhopal: Rajya ki Rajdhani 30 August se Prakash Taran Pushkar Mein 2 saal ke gap ke baad 73rd Senior National Swimming Championship ko Host karne ke liye ready hai.

MP Swimming Association ke Secretary, Piyush Sharma ne kaha “Indian Swimmers Ke Liye Championship Important Hai. Sabhi Top Swimmers Is Championship Mein Participate Karenge.”

Sharma ne kaha ki Asian Age Group Championship ke liye Indian Team ka selection is championship mein swimmers ke performance ke base par kiya jayega. Is year renovatd pool facilities par championship organized karai Jayegi.

Unhone kaha, “Hum state government ke shukraguzar hai ki unhone hame naya swimming pool diya.Unke is response se utsaahit, humne World Federation ko is championship ke liye Olympic qualifier ka darza den eke liye kaha hai.”

India ke top swimmer Advait Page ke bare mein unhone kaha, “hum chhahte hai ki wo yaha perform kare. Lekin,mujhe bataya gaya hai ki 2ah admission lene ke liye USA mein hoga. Hum use championship mein lane ke liye pura try kar rahe hain.”

Advait ne 2017 mein Bhopal mein organized National Championship mein participate kiya tha. SFI ki general council ke decision ke according,ek swimmer ko maximum 5 individual events mein participate karna allowed hai. Best swimmer ka award individuals ke performance ke basis par diya jayega.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule  SwimSwamhindi

Join Us:-

Facebook► SwimSwam Hindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »