In 3 Points Se Kick Ki Power Kre Increase

Ham Sab Jante Hai Ki Michael Phelps Ka Main Element Underwater Dolphin Kick Hai, Kafi Sare International Events Me Michael Phelps Ne Apni Underwater Dolphin Ke Dam Par Hi Puri Race Apni Traf Kari Hai. To Aab Aap Ki Bari Hai Ki Aap Bhi Ab Apni Dolphin Kick Ko Uss Level Par Le Jaye Ki Turn, Start Me Aapko Piche Krne Wala Koi Swimmer Na Rhe. To Chaliye Dekhte Hai Kuch Khas Points Jispar Work Karke Ek Behtareen Dolphin Kick Develop Kari Ja Skti Hai.

Apne Boat Jarur Dekhi Hongi, Lekin Jab Boat Chalti Hai To Kya Apne Uske Propeller Ko Pani Ke Uppar Chalte Hue Dekha Hai?? Nahi , Kyuki Propeller Ka Kaam Hota Hai Pani Wo Piche Ki Or Push Krna Naki Hwa Ko Right? To Samne Chiz Swimming Me Hoti Hai, Swimmers Ke Leg Unke Propeller Hote Hai Or Swimmers Ki Body Ek Boat, Jab Swimmers Apne Leg Water Surface Ke Niche Karke Chlayenge Tabtak Unki Body Ko Ek Accha Momentum Milega, Naki Water Surface Ke Upar Kick Karke Se Momentum Milega, Water Surface Par Kick Karne Se Sirf Dekhne Me Lgta Hai Ki Kick Kafi Achi Chal Rhi Hai.

Swimmers Sayad Isliye Bhi Apni Kick Water Surface Ke Upar Chlate Hai Kyuki Water Surface Par Kick Karna Jyada Easy Hota Hai As Compared To Water Surface Ke Niche Kick Karne Se. But Fir Bhi Unko Agar Improve Karna Hai To Jo Sahi Technique Hai Use Hi Krna Pdega.

6-8cm Niche Kick Karna Perfect Hota Hai Or Isko Practice Karte Wakt Hi Use Me Lana Chahiye Taki Iske Liye Alag Se Practice Na Karni Pde.

3 Basic But Important Points

  1. Technique Ko Smajhna
  2. Flexibility
  3. Right Training
  • Technique

“Fast Kick + Less Drag = Fast Swimming”

Sahi Technique Ke Liye Aap Apne Dolphin Kick Ka Video Bnwa Kar Use Baar Baar Dekhiye Aur Apne Coach Ke Sath Bhi Us Video Ko Share Kriye Taki Technique Me Jo Bhi Kmi Ho Wo Dekhi Ja Ske. Jo Jo Galtiya Mile Use Kahi Note-Down Kar Lijiye Aur Fir Usi Points Ko Improve Krne Ke Liye Training Kariye. Isi Se Aap Technique Ko Improve Kar Skte Hai.

  • Flexibility

Swimmers Flexibility Ke Liye Bhi Jane Jate Hai, Aur Swimming Me Flexibility Ki Bhi Bahut Jarurat Padti Hai Or Ek Achi Dolphin Ki Puri Lower Body Ki Flexibility Par Hi Depend Rhti Hai Isiliye Swimmers Ko Ye Bola Jata Hai Ki 30-40m Phle Flexibility Bdhane Wali Exercise Kriye Uske Baad Hi Pool Me Utariye.

  • Right Training

Baki Upar Bnaye Gye Dono Point Bekar Hai Agar Aapne Use Sahi Trike Se Nahi Kiya Means Aapko Ek Proper Way Me Training Karni Hogi Jisse Step By Step Aap Improve Hote Rhe. Kabhi Bhi Koi Chiz Hasil Karne Ke Liye Jaldibaji Na Kre Aur Na Jyada Late Kre. Aagar Aap Ek Shi Direction Ke Sath Training Kar Rhe Hai To I’m Sure Ki Apka Improvement Hona Hi Hai.

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »