10th Asian Age Group Championships 2019 Ke Liye Tyar Team India

India Mei 20 Years Mei Pahli Baar 24 September- 2 October Ko Aayojit Hone Wale Program Ke Saath, Yah Indian Swimmers Ke Liye Accha Chance Hoga,Kyunki Yah Olympic Qualification Event Hai. Asia Ki Sabse Badi Aquatic Event Ke Roop Mei Pracharit, 9- Divasiya Tamashe Mei 40 Desho Ke 1200 Swimmers Honge, Jo 4 Alag-Alag Jaliya Vishyo Mei Participate Karenge- Swimming, Diving, Water Polo And Artistic Swimming.

China, Japan Aur Singapore Ke Saath-Saath 26 Countries Ke 1000 Se Bhi Jyada Participants AASF Asian Age Group Swimming Championship Mein Apna Best Performance Dene Ke Liye Ready Ho Kar India Pahuch Gaye Hai. Ye Competition Tuesday Se Bengaluru Mein Start Hoga.

Kazakhstan Sabse Jyada 79 Foreign Participants Ke Saath Saturday Ko Bengaluru Pahoch Jayega. China Bhi 57 Participants Ke Saath Weekend Tak Bengaluru Pahoch Jayega.

Yah Nine-Day Championships 2020 Tokyo Olympic Ke Liye Qualifying Event Hai. Is Event Mein Iran, Jordan, Kuwait, Kyrgyz Republic, Maldives, Nepal, Oman, Qatar, Saudi Arabia, Turkmenistan, UAE, Uzbekistan, Vietnam, Thailand, Sri Lanka, South Korea, Phillippines Aur Indonesia Jaisi Countries Ke Bhi Participants Participate Karte Huye Dekhe Jayenge.

Srihari Ne Hasil Kar Liya Tokyo 2020 Ke Liye “B” Qualification – World Juniors

Sajan Prakash, India Ke Sprint Sensation Kahe Jane Wale Virdhawal Khade Aur Srihari Nataraj Ke Saath India Ko Represent Karenge. Unhone Kaha Ki 2020 Mein Hone Wale Tokyo Olympic Ke Liye ‘A’ Cut Achieve Karne Ka Yah Ek Behatreen Opportunity Hai.

Sajan Ne Kaha, “Medal Jeetne Ke Saath Saath Yah Indian Swimmers Ke Paas 2020 Olympics Ke ‘A’ Cut Mark Achieve Karne Ki Golden Opportunity Hai.”

Iske Pichle Edition Mein India Ne Swimming Total 40 Medals Jeete The. Jisme 5 Gold Medals, 13 Silver Medals Aur 22 Bronze Medals Shaamil The.

Is Championship Mein Open Category (18 Years Aur Use Adhik) Ke Saath-Saath Age Group I (15-17 Years) Aur II (14 Years Aur Usse Kam) Ke Participants Participate Kar Sakenge.

Indian Contigent Mei Olympian Virdhawal Khade, Sajan Prakash Aur Shivani Kataria, Sprinter Anshul Kothari, Breaststroke Mei National Record Holder Sp Likith, Freestyle Specialist Khushagra Rawat In Open Category Jabki Kenisha Gupta, Khushi Dinesh, Suvana C Baskar, Tanish George Mathew, Sanjay Cj Aur Riddhima Virendra Junior Varg Mei India Ki Sabse Acchi Ummeed Hai.

Open Class (18 Varsh Se Upar) Ke Alawa, Do Junior Aayu Varg Group (15 Se 17 Varsh) Aur Ii (14 Varsh Aur Use Kam) Honge.

Last Time India Ne Is Program Ki Mezbaani 1999 Mei Ki Thi. 2017 Mei Uzbekistan Mei Pichle Sanskaran Mei, India Ne Swimming Mei 40 Medals Jeete The (5 Gold, 13 Silver Aur 22 Bronze), Jabki Diving Mei Ve 3 Gold, 2 Silver Aur 3 Bronze Ke Saath Ghar Aaye The.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »