Mental Training Karke Kya Sach Me Fast Swimming Kari Ja Skti Hai?

Mental Training Se Kya Swimmer Ko Sach Me Fayda Hota Hai? Kya Sach Me Iski Help Se Swimmer Apni Performance Boost Kar Skta Hai? Aise Hi Bahut Sare Questions Ka Answer Aaj Apko Is Post Me Mil Jayega Ki Mental Training Swimmers Ki Performance Par Kis Tarah Se Prabhav Dalta Hai.

Aaj Ke Time Me Bahut Sare Swimmers And Coaches Ko Ye Pta Hai Ki Mental Training Kaise Swimmer Ki Performance Par Positive Effect Dalti Hai Lekin Aaj Bhi Kafi Swimmers Mental Training Ko Nhi Krte, Thoda Sa Time Mental Training Me Dene Se Swimmer Kaise Fat Swimming Kar Skta Hai Sayad Ye Baad Un Swimmers Ko Pta Nahi Hai.

Elite Swimmers Ko Baki Swimmers Se Kya Chiz Alag Bnati Hai? Kya Elite Swimmer God-Gifted Hote Hai? Ho Skta Hai Ki Ye God-Gifted Wali Baat Kuch Log Ko Sahi Lagti Ho Lekin Aisa Nahi Hai, Koi Bhi Swimmer God-Gifted Nahi Hota Balki Unko Ye Sikhaya Jata Hai Kaise Wo Kisi Big Event Ke Phle Apne Stress And Anxiety Ko Khtm Kar Skta Hai Or Sayad Yahi Wo Chiz Hai Jo Baki Ke Swimmers Nahi Kar Pate. To Ye Chiz Kaise Baki Swimmers Bhi Kar Skte Hai? Iska Answer Ek Hi Hai “Mental Training Ka Use Karke”, Jo Swimmer Mentally Prepared Hota Hai Wo Apni Performance Ke Peak Tak Ja Skta Hai.

Kuch Olympian Swimmers Se Interview Lene Ke Baad Ek Chiz Jo Samne Aayi Wo Ye Thi Ki Un Sabme Kuch Characteristics And Mental Qualities Same Hi Thi.

Kitna Time Mental Training Me Diya Jana Chahiye? Ye Bhi Kuch Logo Ka Question Ho Skta Hai And Iska Answer 45min-60/Week Hai Isse Jyada Bhi Diya Ja Skta Hai Lekin 45-60min Ek Aisa Time Hai Jo Swimmer Apni Training Karne Ke Baad Ya Phle Nikal Skta Hai.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »