Lockdown 3.0 Ki Hui Shuruwat, Sabhi Swimmers And Pools Behaal

Major Cities Ke Deserted Swimming Pool Na Sirf Financial Losses Face Kar Rahe Hai, Balki Jo Young Swimmers Khud Ko Aur Saath Hi Apne State Ko National & International Level Par Represent Karna Chahte Hai Unke Liye Bhi Setback Pose Kar Raha Hai.City Ke Army Aur Civilian Pools Bhi Same Situation Face Kar Rahe Hai.

Unlike The Western Region Of Country, UP Mei Swimming Ek Season Specific Sport Hai Jo Ki Sirf Summer Ke 4-5 Months Tak Hi Limited Hota Hai.But Lockdown Ki Wajah Se Is Baar Swimmers Ki Pool Mei Jaane Wali Hope Ko Nirasha Haath Lagi Hai Aur Agar Restrictions Hata Bhi Diye Jaaye Toh Bhi Possibility Utni Nahi Hai Ki Ye Sport Logo Ko Attract Kar Payega Is Baar.

All Weathers Mei Delhi, Haryana, Punjab Jaisi Big Cities Mei Pools Common Hi Rahte Hai, Swimmers Ko Opportunity Offer Karte Hai Jisse Wo Throughout The Year Practice Kar Sake. UP Ki Successive Governments Ne Promise Toh Jarur Kiya Ki Wo KD Singh Babu Stadium Swimming Pool Ko All-Weather Swimming Pool Mei Convert Kar Denge, But Abhi Tak Aisi Koi Facility Available Nahi Hui Hai.

Association Ko Regret Hai Ki Is Samay Jab Other States Apne Swimmer Ko Quality Swimming Pools Offer Kar Rahe Hai, UP Ke 2 Swimming Pools Jo Ki Already International Levels Ko Meet Kar Chuke Hai Who Bhi Abhi Close Pade Huye Hai. KD Singh Babu Stadium Jo Ki Lucknow Mei Hai Uske Paas All Weather Facility Nahi Hai Aur Uske Poor Water Quality Ke Upar Association Question Raise Kar Chuki Hai.

Latest Indian Swimming News Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jarur Like Kar Le

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »