Kuch Baatein Jo Swimmers Ko Nahi Kahni Chahiye

Swimmers Aisi Lifestyle Jeete Hai Jo Ki Non-Swimmers Ke Liye Koi Sense Nahi Banati Hai. Toh Kya Hum Unhe Blame Kar Sakte Hai Nahi Samajhne Ke Liye? Toh Kai Baar Anjane Mein Hum Unse Aisi Baatein Kah Dete Hai Jo Unhe Nhi Kahni Chahiye. Aaiye Jaante Aisi Kon Si Baatein Hai Jo Ki Kisi Swimmer Ko Nhi Khni Chahiye.

Swimming Koi Sport Nahi Hai.

Ye Sentence Akela Hi Kaafi Hai Kisi Bhi Swimmer Ko Gussa Dilane Ke Liye. Non-Swimmers Ke Swimming Ek Leisure Kaam Ho Sakta Hai Jo Wo Unhe Summers Mein Karte Hai, Par Swimmers Ke Liye Bilkul Bhi Nhi. Swimming Mein Skill, Strength, Endurance Aur Ek Determined Mindset Ki Jarurat Padti Hai. Isliye Swimmers Ko Aisa Nhi Bol Sakte Hai Ki, ‘Swimming Koi Sport Nahi Hai.’

Kya Tumne Apni Meet Jeeti?

Swimmers Ke Liye, Winning Hi Har Baar Mayne Nhi Rkhti Hai. Competition Mein, Meet Mein, Participate Krna, Apna Best Dena Bhi Hamare Liye Utna Hi Important Rakhta Hai. Isliye Swimmers Se Ye Nhi Puchna Chahiye Ki, ‘Kya Tumne Apni Meet Jeeti?’.

Kya Tum Practice Skip Kar Sakte Ho?

Ye Question Toh Sabse Bekar Hai Kyun Ki Koi Bhi Swimmer Jab Tak Use Bahot Jyada Chot Na Lag Jaaye Tab Tak Wo Practice Miss Krna Toh Nhi Hi Chahega.

Kya Tum Olympic Mei Jaa Paoge?

Har Swimmer Wish Karta Hai Ki Woe K Din Olympic Games Mein Apni Jagah Banaye. But Reality Toh Ye Hoti Hai Ki Wo Sure Nhi Hote Hai Ki Wo Jagah Bana Bhi Payenge Ya Nhi. Worldwide Billions Of Competitive Swimmers Hai Aur Hum Agle Michael Phelps Ho Aisa Jaruri Toh Nhi Hai Na.

Kya Tum Thake Nhi Ho?

Roz Subah 5:30 Baje Uth Kar Swimmers Bhi Kbhi Kbhi Thak Jaate Hai. But Phr Bhi Ye Worth It Hota Hai. Swimmers Ke Paas Bade Goals Hote Hai Achieve Krne Ke Liye Aur Is Liye Wo Daily Itni Mehnat Krte Hai Unhe Achieve Krne Ke Liye.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »