KIUG 2024 Me Swimmer Shubhrant Patra Ki Remarkable Performance

Swimmer Shubhrant Patra ne men’s 200m butterfly individual event mein apni dominating performance dikhate huye gold medal jeeta aur uske baad return aa kar Jain University ki help bhi ki 4*100m freestyle relay mein crown claim karne mein. Ye achievements unhone Guwahati mein chal rahe Khelo India University Games mein achieve ki Tuesday ko.

Sarvajanik University, Surat ki Kalyani Saxena aur Saveetha Institute of Medical and Technical Sciences ke Danush S ne bhi Dr Zakir Hussain Aquatic Complex mein swimming competitions ke second day par ek ek gold medal jeeta.

Competition ke 2 din mein 32 gold medals diye jaa chuke hai aur isme Jain University ne top kiya hai four gold, one silver aur two bronze medals ke sath wahi par Utkal University second par rahi hai jisme se swimmer Pratyasa Ray ne hi three gold medals jeeta. Inhone bhi Tuesday ko women’s 200m backstroke event mein gold medal jeeta.

Patra, originally  Odisha se hai but abhi wo training aur study Bengaluru mein hi kar rahe hai. Unhone 2:06.94s ki timing ke sath 200m butterfly event mein gold medal jeeta, aur Chandigarh University ke Harsh Saroha se half second pahle finish kiya. Shubham Dhaygude jo ki Savitribai Phule University se hai unhone 2:11.18s ki timing ke sath bronze medal clinched kiya.

Iske baad Subhrant ne pool mei return aa kar 4x100m freestyle relay mein third leg swimming karte huye unhone teamed up kiya Xavier Dsouza, Dhyan Balakrishna aur Sambhavv R ke sath aur 3:37.76s ki timing ke sath apni tema ko gold medal bhi jitaya.

Anna University (3:39.35s) aur University of Kerala (3:41.65s) nesilver and bronze medal jeeta respectively.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »